
Zaroori nahi hai ki tumhe rozz hi khudh se jung ladhni hai kuch karne ke liye. Kisi din khaali baith kar bhi dekha karo. Kabhi-kabhi tumhe lagta hoga ki yaar kya kar raha hu main apni zindagi ke saath. Uss waqt josh mai do kadam aage nahi, peeche liya karo. Aur socho, ki kya sahi ho raha hai aur kya galat. Aur kaise kya kiya jaa sakta hai aur kaise accha kiya jaa sakta hai. Chote-chote kadam badhaane hai. Aur 365 din hustle karne ki zaroorat nahi hai, kuch waqt aaraam bhi kiya ja sakta hai. Bhale abhi tak tum wahan pahuche nahi ho, jahan pahuchna chahte ho. Per thodha khudh per naaz kar karo yaar, ki kam se kam ghar se nikle to sahi. Khudh per itna bojh mat daala karo. Zindagi rozz nayi-nayi opportunity degi, zaroori to nahi. To bahut din khaali jayenge, bahut din aisa lagega ki tumne kuch nahi kiya. Kabhi aisa mehsoos hoga ki ek routine mai aake bandh gaye ho tum. Uss waqt zaroori hoga, kuch din ke liye har cheez se chutthi le lena aur ghoom kar aana kahin.
Aur maine suna ki tum saccha pyaar dhoondhne ki firaaq mai ho. To suno, dhoondhne se nahi milega. Pyaar tab dastak deta hai jab tumhe uski bilkul ummeed nahi hoti. To kaaynaat per bharosha rakho, sab milega. Tumhe pata hai ki tum sab kar sakte ho. Aur agar nahi bhi kar paaye to koi baat nahi, koshish hi karni hai, phir kar sakte ho. Sab aasaan ho jaata hai, tum aasaan maan kar to dekho. Kisi aur se behtar tumhe ban'na hi nahi hai. Tum bass beete huye kal waale khudh se behtar bano.
Itni jaldi mai kyun ho ? Tumhe aisa kyun lagta hai ki sab aage nikal gaye aur tum peeche reh gaye ho. Koi race thodhi na chal rahi hai. Hamesha, har koi tum aage ya peeche rahega hi. Jab tum khudh se aage waalo ko dekhoge to bura lagega. Aur peeche waalo ko dekh khushi hogi. Matlab apne khushi aur gham ki chaabi tumne doosro ko de rakhi hai. Yaar aise kaise chalaane waale ho tum zindagi ? Apne kaam pe dhiyaan do, apne hisaab se kaam karo. Har kisi cheez mai faayda mat dekhna. Kuch kaam to be-matlab hi kar liya karo. Jaise kabhi chote baacho ke saath khel kar aao. Kabhi-kabhi yaar khudh bhi baache jaise bann jaao. Kabhi sair karne niklo, bina phone ya kisi ke. Kabhi bike ya scooty le jaa kar, doston ke saath ride per jaao.
Zindagi banaan ke chakkar mai, zindagi kho mat dena. Inn chote-chote lamho mai, badi-badi khushiyan chupi hai. Yeh nahi kiya to woh ho jayega, woh nahi kiya to yeh.......vagerah.....vagerah, yaar itna socha hi mat karo. 24 ghanto mai se 2 ghante khudh ko diya karo. Aur suno, accha jaa rahe ho tum, dheere-dheere aur behtar ho jaoge. Aaj ke liye bass karo bahut overthink kar liya, aankhein moond lo, thodhi der mai soo jaoge.
-M. N².