| Main uske just friend ki tarah bhi nahi reh gaya tha |
Ek din rozz ki tarah woh aayi mere pass mai, aur kehne lagi ki kal aakhiri din hoga tumhare saath mai. Achanak...maine socha ki mazak kar rahi hogi, uss waqt yakeen nahi kiya maine uski baat pe.
Phir usne kaha - 'Seriously kal se nahin milungi.'
Maine bhi poocha - 'Kyun kya ho gaya ek dum se hi ?'
Usne bataya - 'Ab iss sheher se kahin door ja rahi hu. Ab bass kal hi kal saath reh payenge isiliye bata rahi hu.'
Yeh sunne ke baad main shock ho gaya. Mera mind kuch der tak block ho gaya. Mujhe samajh nahi aa raha tha ki main yeh kya sunn raha hu. Abhi to thoda time mila tha uske saath time spend karne ka, aur ab dekho yeh kis situation mai aa gaya hu. Woh sad wale expressions mere face pe chipak se gaye the. Koshish kar raha tha muskurane ki par woh hat hi nahin rahe the. Mere dimaagh mai ab bass kal-kal chalne laga, ki ab kal ke baad ussey phir kab milunga. Ek sabse badi tension iss baat ki bhi thi, ki dil waali baatein meri zubaan se nikli nahi thi. Woh bhi usko batana zaroori tha per ab mere pass kambakht time ki bhi kami thi.
Usko pata hona chahiye ki mere dil mai kya hai. Aur mujhe bhi maloom hona chahiye ki uske dil mai kya tha. Kayi dafa main ussey apni baatein keh chuka tha, per uss time maine problem yeh kardi thi ki main hassne lagta tha. Seriousness meri gayaab ho jaati thi, woh bhi mazaak mai baatein le leti thi. Aur main jawaab ka adhoora reh jaata tha.
Raat ko soote waqt mere dimaagh mai bass yahi baat chal rahi thi, ki yaar ab kal ke baad woh sach mai nahi milegi. Agar uski bass mujhe aadat hoti to woh bhi chodhne ki koshish kar sakta tha, magar ab to mujhe ussey mohabbat thi. To bass poori raat mere khayaalon mai wahi puraane lamhe rewind hote gaye. Kaise hamaari baat start hui thi aur kaise hum idhar tak pohoche the. Maine bhi ab thaan lilya tha ki ab ussey bilkul seriously saari baatein kehni hai. Jo maine dil mein rakhi hai, I was not prepared in that very time but kehna to hai hi, jo ussey meri ab aakhiri mulakaat hone waai hai.
Phir woh din aaya....udaas tha main ki woh jaane waali thi. Excited bhi tha ki ab meri mohabbat mukaam paane waali thi. Rozz ki tarah hum saath the. Uska haath mere haath pe. Normal si baatein chal rahi thi. Main unhe khaas banaane ki koshish karne laga. Yeh lamha mere liye behad keemti tha. Main baat badhaane ki koshish karne laga.
'Will you miss me ?' - Maine poocha ussey.
Hasste-hasste usne kaha - 'Nahin...!'
Phir usne ek baat kahi, - 'Ki ek baar sab kuch settele ho jaane ke baad hum kahin ghoomne chalenge.'
'Kyun nahin ?' - Maine kaha, - 'Yeh aakhiri mulakaat thodi na hai. Hum to iske baad bhi kayi dafa milenge.'
'Milenge na........?
Ab time nikle ja raha tha aur usko bhi jaana tha. Mujhe bhi woh kehna tha jo main soch ke aaya tha. Ek gehri si saans li maine, I was on the verge to say it, but phir himmat toot gayi. Dil mera zor-zor se dhadhakne laga. Mujhe khudh per gussa aane laga ki yeh mere saath kya dikkat thi ? Khud ko samjhaya, next try, all the best, bol de. Per tab tak to usne keh diya, - 'Accha theek hai, Bye......ab ja rahi hu.'
Ek minute meri baatein adhoori nahi reh sakti. Jo main soch kar aaya hu woh main bol kar jaunga, and then I said, bye.......I like you..!!
Lamha tham gaya...mera dil dhadhak raha tha. Uske ek look ke liye, ek reply ke liye.
Usne palat kar dekha aur uske chehre per muskaan tab haazir hui, jab usne mere chehre pe muskurahat dekhi, aur hamesha ki tarah usko yahi laga ki main jaate-jaate iss time bhi ussey mazaak kar raha hu. Aur woh meri baaton ko phir mazaak mai le gayi. At last woh bye keh kar chali gayi.
Oh hello, l am not joking.....am serious this time. Suno to sahi...kuch baatein mere dil mai hai, jo adhoori reh jayengi, unhe sunn to lo ek dafa. Mann-mann mai chilla raha tha mat jao na, ruk jao na. Ab waqt mera kaise katega jo kat'ta hi nahi tha tumhare bina ? Tumhari jagah koi nahi le payega, yeh tumhe bhi hai pata. Main apni har baat kissey kahunga ? Subah ka aagaz kaise karunga ? Tum ek din nahi aati thi to din shuru nahi hota tha, ab roz hi nahi dikhogi to kaise chalega ?
Per reality ab yeh thi ki woh kareeb nahi thi. Ab bilkul pehle ki tarah jeene ki aadat lagaani padegi. Nahi socha tha maine ki iss tarah aakhiri mulakaat rahegi. Baatein dil se bahar nikal kar bhi wahi adhoori baat rahegi. Ab baat nahin hoti, Mulakaat nahin hoti. Din to kat jaata hai per raat nahi hoti. Itni doori ho gayi hai ab waqt ke saath, aur door ho jaunga. Mujhpe just friend ka tag tha na,
| shayad ab woh dobara haasil kar bhi nahi paunga.|
Woh kuch bhi post karti thi na, main bade itminaan se dekhta hu. Jaise mere liye hi post kiya ho, act kuch iss tarah karta hu. Aaj bhi jab facebook khola to usne koi story daali hui thi. Maine open ki aur pic dekh kar laga, jaise woh mere sheher aayi hui thi.
Maine story pe reply dete huye poocha ussey,-'Hey whatsup, to kab aana hua yahan pe ?'
Thodi der baad reply aaya uska, - 'Kuch nahi….bass college ki chuttiyan.'
Itni jaldi uska reply kabhi aaya nahi tha issey pehle. Lag raha tha koi jaadu sa ho gaya ho jaise. Aage add on karte huye poocha maine, - 'So, Are you free tomorrow ?'
Usne kaha - 'Haan.....bolo'
Main excited sa hua reply dene mai aur phone bhi excited ho gaya. Apne aap hi saare app close aur saala tabhi chalna band ho gaya. Phir fatafat noxcleaner se maine phone ko apne optimise kiya. Uski saari problems ko jhat se bass clean karke side kiya. Ussey baat karni hai kahin offline na ho jaaye. Waise bhi kam hi mauke milte hai aaj kal, kam se kam baat to poori ho jaaye. Kitne dino se apni mulaqaat nahi hui thi. Ya yuh kehlo ki mere liye woh ghadhi wahi ruki thi. Aur aaj itne din baad ussey bhi baat hui thi. Milne ka mann to mera bahut tha, iss baar woh mere kaafi kareeb bhi thi. Maine socha milne ke liye ussey bolu ki nahi ? Ajeeb to lag hi raha tha aur saath mai thodha darr bhi.
To bahut zyada himmat jutaate huye maine poocha ussey, -'Agar kal tum free ho...to kya hum mil sakte hai ?'
Usne kaha, - 'Okay.....waise kahan ?'
Maine bola, - 'Yahin paas wali coffee shop per. Kal 4 baje milte hai wahan.'
Usne kaha, - 'Theek hai.....I'll be there.'
Main shukraguzaar......God ne sunn li meri prayer.
Mujhe vishwaas nahi hua usne haann boldi. Laga tha koi na koi bahaana to zaroor banayegi. Ab jo bhi tha sab khwaab sa tha. Intezaar to kal ki shaam ka tha. Main samajh chuka tha neend to aayegi nahi raat ko. Dimaagh ne bhi play kar diya woh saalo pehle wale past ko. Yaad kiye woh pal, kaise hum saath rehte the na. Main to aaj bhi waisa hi hu, woh bhi waisi hi hogi na ? Mujhse milne ke liye, woh bahaane banaaya karti thi. Mere kandhe ko sirhaana bana kar chain se soo jaaya karti thi. Uska bachpana bass main sambhaal sakta tha, ya yuh kehlo ki yeh bachpana woh bass mujhe hi dikhaaya karti thi. Pehli mulaqaat se aakhiri mulaqaat tak hum aise the jaise dil aur dhadhkan. Phir jab usey baad mai sheher se bahar jaana pada, aisa laga woh waqt hamaare rishte per bhaari pad gaya. Woh thodi zyada busy ho gayi, naye doston aur padhaayi mai. Mujhe bhi koi aapatti nahi thi, woh kitna hi time lagaaye reply mai.
Hamaari baatein bhi kam hoti thi, kyunki ab dono ke paas hi time ki kami thi. Aur phir yeh saalo ka gap, bada bhi to hota hai na kaafi. Chalo inn sab ko to chodh do, mujhe bass ek cheez se naraazgi thi, itna saath to rahe hai hum, phir bhi photo saath mai bass ek hi thi. Ab iss mulaqaat mai socha maine kuch pal tasveer mai to zaroor qaid karunga. Woh kal jab milne aayegi mujhse, to kya keh ke shuruaat karunga ? Hii-Hello se start kar ke phir coffee ke liye puchunga. Nahi....Hello vagera ke baad uska haath pakad ke khudh shop ke andar le chalunga. Haan...thoda romantic bhi lagega aur pehle jaisa bhi. Shuruaat to ho hi jaayegi baat ki kaise bhi. Yaadein soch-soch ke rehearsal kar-kar ke raat to kat gayi. Subah bhi pata hi nahi laga kab aankhon ke saamne se hatt gayi.
To ab tayyaar poora ho kar main nikal gaya mulaqaat ke liye. Excited mai pohoch gaya destination pe 4 bajne se 15 minute pehle hi. Intezaar kar raha tha, rehearse kar raha tha, woh kisi bhi waqt aati hi hogi.
Kahan ho ? Message bhi chodh diya maine, jissey pata lag jaaye abhi aur kitna intezaar hai baaki.
4 baj gaye...4:30...,4:45…phir 5, woh aayi hi nahi. Kahin…bhool to nahin gayi ? ki mujhse milna tha aaj ? Maine socha call karke pooch leta hu, number to tha hi puraana mere paas. Per call bhi uska not reachable aaya. Woh aayegi bhi ki nahi aayegi aaj ?
Ek aur number hai....woh try karta hu woh to lag hi jayega, koshish karke dekhta hu. Aur aise hi waqt pe na mera phone bhi mera saath nahi deta. Call lagaane laga hi tha usey aur tabhi dekho, hang sa ho gaya. Maine jaldi se ussey chutkaara paane ki koshish ki. NoxCleaner to installed hi tha uss mai, ek click mai poore phone ki dhang se safaayi ki. Jitne bhi features the sab use kiye, Antivirus, Memory speed up, koi kasar nahi chodhi. Ab phone apni normal position mai aa chuka tha. Iss app ne phone speedup kar ke apna kaam kar diya tha.
Maine iss baar call lagaaya usey, aur ring gayi. Usne phone bhi utha liya barabar, balki kaafi jaldi hi.
Maine bola - 'Hello...kahan reh gayi ?'
Usne bola - 'Shitt....main………bhool gayi. Woh kisi kaam se na main bahar aa gayi hu, to kabhi aur milne ka plan banaaye...Please...?'
Woh thaki-thaki si sound kar rahi thi.
Maine bhi bola - 'Its okay....koi baat nahi.'
Phone rakh diya aur wapas ho chala main raste se. Aur soch raha tha jab mann hi nahi tha, to milne pe haan kyun bola mujhse ? Naa ka matlab Naa hota hai, per uski Haan ka matlab bhi Naa tha. Jo mujhse milne ke bahaane banaati thi, aaj usne na milne ka bahaana banaaya tha.
Woh ghar per hi thi yaar, bahar nahi. Yeh bahaana bhi usne galat chunn liya tha. Ya dhiyaan nahi diya hoga usne, kyunki phone to maine landline per hi kiya tha.
-M. N².