![](https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEgq-zFrzjghiUawrTcj4EBqHde1R-1wqht5Ohnnf2Z4UpWQxOjLDGwjqgyQqXpHZMWbjpR6MEBVDs1kwXTR-5GjEyXbZwNRvTiVPqHWMBC3C013l6wwR1q_6RQ9RIH3Kaf9gPY2pXUyQ8DhmlN2Mkr4unxq1C8eJzVp61EZOWLz5nNmA5DJ-NNHsTjjTsw/s16000-rw/fotor-ai-20240916184022.jpg)
Yeh baat mere 11th class ki hai, issey pehle main kabhi tuition gaya nahi tha. Sabne kaha yeh 2 saal zaroorat padegi, to maan ke sabki baat zabardasti jaana padh raha tha. Kisi bhi nayi jagah jaane mai thoda ajeeb to lagta hai, bass wahi ek feeling thi ki kya hoga ?
Chemistry, Physics, Maths aur english ki book pack kari. Pehle Physics phir Chemistry ka, uske baad maths ka tuition aur phir baad mai english ka tuition hota tha. Maths ke tuition ke baad 5 baje ka tuition English ka hota tha, 05:05 per main gate pe pahuch chuka tha. Sirf main hi naya nahi tha wahan pe, per sab mujhe hi dekh rahe the. Maine zyaada idhar udhar socha nahi seedha andar chala gaya. Peeche ki benches khaali nahi thi to aage hi baithna padh gaya. Aate hi sir ne good evening bola, bina introduction ke padhaayi ki baatein shuru. Board pe koi verb table likh di aur kaha jaldi se write karo isey. Saari class shaanti se copy pe pen chalaane lagi. Woh jaana pehchaana topic tha to cheezein thodi bohot samajh aane lagi.
15 minute ke baad class ka gate khula.
"May I come in sir" - Thar-tharaati saanson tale usne bola.
Sabki nazar gayi darwaaze pe, per meri hati hi nahi board se. Sehmi hui muskura rahi thi woh pehle hi din 15 minute late thi. Bikhre huye baal, maathe pe paseena, jhuki hui nazrein, bass ab aur der bahar nahi rehna chahti thi. Masoom sa chehra baccho sa bana ke bass jaldi se class ke andar aana chahti thi. Sir ne bhi kuch kaha nahi shayad pehla din samajh ke andar aane diya. Woh bhi dhundh rahi thi ki kahan baithu. Sir ne meri waali bench ke aage usey ishaara kiya. First desk pe baithna shayad raas aaya nahi usey. Per usey pata tha ki aaj ke liye to baithna padega hi yahan pe.
Woh peeche mudhi mujhse poocha - 'Karna kya hai ?'
Maine smile ki usey dekh kar, aur kaha, - 'woh note karna hai jo board pe likha hai.'
Phir bass thodi der baad sir ne kaha, - 'Ab main answers puchunga sabse.' First bench pe ungli dikhaayi aur usey khada kiya, - 'Tumhara naam kya hai bacche ?'
Answer se zyaada woh naam sunne ki utsukta thi mujhe. Maine bhi kaan khol liye aur baith gaya itminaan se.
Usne bola, - 'Sir, Haniya, I am Haniya.'
Sir ne kaha, - 'Okay...pehle row mai kya hai aur kahan use hota hai inka, iska ka answer batao beta.'
Usne reason ke saath jawaab diya, jo ki poocha bhi nahi tha. Sir ne bhi kaha very good uska poora answer sahi tha.
Pehle din zyaada padhaayi hui nahi per itna pata chal gaya mujhe, ki yahan aage dost acche mil jayenge. 07:30 baje saare tuition kar ke ghar pohocha. Thaka hua soch raha tha, ab to school-tuition dono jagah teachers pakayenge. Per jo bhi kaho pehle din ke hisaab se sahi laga. Thaka hua sa tha hi main bistar pe jaate hi bass soo gaya.
Ab agle din jab class pohocha to kaafi jaldi pohoch gaya. Mere alaava bass Haniya hi dikhi mujhe.
Maine thoda sochne ke baad usey 'Hii' kiya.
Usne bhi 'Hello' bola.
Aur phir thodi bohot baat hui.Kaunsa school hai ? 10th ka result ? Maine maths aur usne Bio kyun li ? Second last bench pe baithe the hum dono. Main 3rd row mai tha aur 2nd row mai woh. Woh bata rahi thi apne baare mai aur obviously main bhi bata raha thi. Usey physics kitni bekaar lagti hai aur mujhe chemistry. Woh apna point samjha rahi thi, main apna samjha raha tha. Thodi der mai yeh lagna band ho gaya ki aaj hum doosri hi baar mil rahe hai. Baaton ne apna flow kuch yuh pakad liya ki do ajnabi ghul rahe hai.
Phir thodi der baad class shuru ho gayi. Physics ki class se woh aa rahi thi abhi, to chote mote doubts mujhse pooch rahi thi. Yeh humne decide kar liya tha ki chemistry mai woh meri help karegi aur physics mai main uski. Physics ka usko itna darr tha kyunki 9th class mai fail hote-hote bachi thi.
Ab class khatam karke main jaane laga. Woh achanak aayi aur usne hi aake poocha mujhse ki paas waali market mai ‘momos khaane chalein ?'
Maine kaha, - 'Neki aur pooch-pooch kyun nahi chalo.'
Usne bola, - 'Theek hai deri kis baat ki...Lets go.'
Chalte-chalte raaste mai apni aur baatein hui. Apni pasand na-pasand woh non stop sab mujhe bataati gayi. Usey football dekhna bhi pasand hai aur khelna bhi. Usey cricket ke bare mai kuch nahi pta, phir bhi favourite team pucho to RCB. Uska bachpan se hi sapna Doctor ban'ne ka hai. Iss goal ke liye woh sach mai kaafi serious hai. Movies mai itna interest nahi hai usey T.V shows hi dekhna zyaada pasand hai. Woh guitar bajaana seekh rahi hai aur gaana usko aata hi hai. Cooking karne ka kaafi zyaada shauk hai, bhale bass cake hi banaana aata hai. Woh aam taur pe itna nahi bolti, per jiske saath comfortable ho jaaye, uske baad kuch keh nahi sakte. Kabhi-kabhi thoda irritate karti hai per uski baatein sune bina, tum reh bhi nahi sakte.
Aur unhi baaton ke beech hum pohoch gaye momos ke stall pe. Yeh itni der mai pehli baar tha jab woh aayi ho silent mode pe. Khaane se pehle usne bola ruk…ruk…ruk. Photo to lelu, apni insta id bata, -'mnsquare@9716.' Pehle story update kardu ?
Phir khaate-khaate usne mere baare mai poocha. Meri har baat se koi apna incident usey yaad aa hi raha tha. Phir der hone lagi to ghar bhi jaana tha.
Usne kaha, - 'Aaj ke notes jo tune banaaye the woh kaise bhejega ?'
Maine bola, - 'Number dedo, whatsapp kar dunga.'
Usne kaha - 'Haan...note kar yaad se de dena.'
Phir haath milaane ke baad hum chal diye apne-apne raste. Maine socha tuition itna bhi khatarnaak hota nahi hai, agar dost mil jaaye acche.
Maine kaha -'Chalo ek saathi mil gaya, ab kya hi teachers paka lenge.'
Gungunaate-gaate ghar pohocha main. Aaj thaka nahi usey saare notes send kar diye. Phir jaise-jaise waqt beeta hum kaafi kareeb aa gaye. Partners in crime keh lo ya best friends, poore tuition mai hum hi chhaa gaye. Matlab non stop baatein lecture bunks teacher per paper balls bhi fenkte the. Peeche waali bench pe baith ke agli mastiyon ki planning karte rehte the. Sir bhi zyaada kuch kehte nahi the kyunki marks theek thaak le hi aate the. Tuition ke baad ghar jaane se pehle rozz kuch na kuch khaane jaate the. Woh chemistry mai help kar rahi thi meri aur main physics mai uski. Maths mai mujhe koi dikkat nahi thi aur topper to thi hi woh Bio mai.
Ab hum dono ek doosre ko poori tarah jaan chuke the. Bahar ki baatein andar ki baatein sab ek doosre se baant chuke the. Maheene guzar gaye the ab to dosti ke. Itna comfort pehli dafa mila tha kisi se. Ab thode dino mai half yearlys aane waale the. Woh tuition waale bhi bass extra class liye jaa rahe the. Taiyaar to the hi exam ke liye per darr to lagta hai. Abhi to sab samajh mai aa raha tha, lekin exam time pe kuch alag hi ho jaata hai. Ab dheere-dheere exams bhi khatam hote gaye. Kuch paper acche gaye aur kuch bohot hi bure gaye.
1 maheene ke baad tuition classes resume, paper khatam hone ke baad bhi papero ki hi baat chal rahi thi, pata nahi kyun ? Waise mujhe koi tension nahi thi 71% marks the, 11th class ke hisaab se dekho to bahut hi khaash the. Haniya ke 76% phir bhi udaas thi, may be usey issey zyaada number ki aash thi. Maine console kiya usey per cheer up hui nahi woh. Maine socha chalo thodi der ke liye usey akela hi chodh do. Sir ne bhi sabke haal puche aur agla syllabus bataane lage. Main to bass yahi soch raha tha ki iske aage ab padhaane na lage. Aur tabhi class ka gate khulta hai,
'May I come in sir' - Bold si aawaaz mai woh poochta hai.
Lamba sa ladka, 5.10 ka hoga, baal bilkul spikey se aur dole aise ki gym jaana shuru hi kiya hoga. Woh ladke nahi hote jo ladkiyon ke dream boy jaise, jinke paas khudh ladkiyan aati hai, bin maange notes dene.
Maine socha isko pehle to kabhi dekha nahi, yeh kaun bala hai ?
Sir ne bola, - 'Okay class, this is 'Nibin'. Isne aaj se hi join kiya hai. Semester ke beech mai aaya hai to iski help karna. Pichla jo bhi tha woh dheere-dheere karke samjha dena. Books ke notes - Naushad - Tum iska complete karaoge aur baaki Haniya se samajh lena, badhiya ho jaoge.
Sir ne Nibin ko peeche hamaare saath bitha diya. Usne hamein 'Hii' bola. Humne bhi usey 'Hello' kiya. Haniya aur mere beech ek aur member ghusne waala hai ? Ya iss nayi dosti mai abhi aur maza aane waala hai ?
Usne bataaya - ki 2 subjects mai fail hone ke baad usne yeh tuition join kiya hai. Usey bass passing marks ki talab hai, uske parents ka bhi bass itna hi sapna hai. Mehengi ghadhi uske haath mai, itna mehenga phone chala raha hai. Aage chal ke bhi papa ka business hi sambhaalna hai. Formality ke liye hi padhe jaa raha hai.
Ab har rozz hum teen saath mai baithne lage. Tuition ke baad khaane bhi saath mai hi jaane lage. Ab matlab poori tarah se Nibin bhi hum mai dhal gaya tha. Unit test mai uske number theek aane lage the. Hamaare saath reh ke sudhar gaya tha. Ab 3 idiots ki tarah hum poore tuition mai famous the. Marks bhi le aate the aur bunk mai bhi experts the. Lekin kabhi-kabhi mujhe thoda ajeeb bhi lagta tha, ki apni best friend ko mujhe share karna padh raha tha. Meri friend mere jitna ab kisi aur ke bhi kareeb hai. Jalan nahi hai yeh ek feeling hai, jo ki pata hai mujhe ajeeb hai.
2 maheene mai hi mere jitna close ho gaya Nibin, ya phir main hi zyaada soch raha hu...? Friends ke beech thodi na hota hai yeh sab kuch, lekin mera hunch kahin na kahin sach ho raha tha. Woh main (मैन) lead bann raha the aur main side line ho raha tha. Kabhi-kabhi to aisa bhi lagne laga mujhe ki main unn dono ke beech mai aa raha hu. Khaane jaate the to khaane se zyaada woh apni baatein karte the. Aisa lagta tha main hi akele khaaye jaa raha hu.
Ek din meri tabiyat theek nahi lag rahi thi to maine bola Haniya se ki aaj main ghoomne nahi jaa paunga tum dono hi chale jao. To mujhe laga mere bina woh bhi nahi jayegi, aaj tak kabhi gayi bhi nahi hai, lekin take care bol ke usne badha liye apne paon.
To baat meri ab sach ho gayi thi, yeh friendship triangle bann chuka tha. Ab woh zyaadatar notes maangne ke liye hi message karti thi. Dheere-dheere sab badal raha tha. Lekin maine socha dost hai woh meri, usey aise thodhi na jaane dunga. To Nibin ko group se alag karne ki koshish, planning main karne laga.
Agle din main maths ka lecture aur woh bio ka lecture le kar aa rahi thi.
To maine Haniya se poocha - 'Bunk pe chalein kya ?'
Usne bola - 'Nibin nahi aa raha kya aaj ?'
Maine kaha - 'Nahi...maine pucha tha ussey lekin usko lecture attend karna hai aaj.'
Usne kaha - 'Theek hai chalte hai, main bag lekar aayi phir nikalte hai.'
Raaste pe phir apni woh puraane jaisi baat hui. Lekin ek time pe woh kahin na kahin Nibin pe jaake atak jaati thi. Aaj bhi woh mujhe apna best friend hi bolti hai. Aaj bhi Nibin se pehle Naushad naam hi leti hai. Lekin phir bhi lag raha tha mujhe ki woh door ho rahi hai. Main bahut mana raha tha khudh ko per jalan ab ho rahi hai. Ab mujhe nahi pata tha, kuch alag sa lag raha tha. Dosti mai bhi aisa hota hai kya ? Meri samajh ke bahar tha . Ya Nibin ke aane se hamaara rishta bekaar to nahi ho gaya na ? Ek second shit....itna sab kuch mujhe ek saath feel ho raha hai, kahin mujhe………………pyaar to nahi ho gaya na ?
Phir kuch aur maheene same chalta raha. Dosti mai insecurity nahi hoti hai per phir bhi main usey khone se darta raha. Mujhe samajh nahi aa raha tha ki kya ho raha hai ? Woh meri dost ab bhi hai, ya mujhe pyaar ho raha hai ? Woh uske saath zyaada waqt guzaarti hai aaj kal, mujhe fark padna chahiye kya ?
Ab thode din mai finals aane waale the, to ab ghar se zyaada waqt to tuition mai bitaane waale the. February ka maheena tha jo ki pyaar ka bhi maana jaata hai. Per main to issi mai poora confused tha ki mera dil kya chahta hai ? Jab mera dimaagh kharaab hua to maine Sumit ko call kiya.
Sumit mere saath pehle se hai, usey meri takleef ka pehle se hi hai pata. Hum dono same school mai hai, same section saath mai baithte hai. Main usko poora jaanta hu, woh mujhe poora jaanta hai hum shuru se hi apni saari baatein baat'te hai. Jab bhi koi pareshan hota hai ek doosre ke liye hum Sandeep Maheshwari bann jaate hai. Usko meri kahaani saari pata hai. Haniya, Nibin to bass jaldi se ussey solution maangte hai.
Maine bola ussey - 'Dekh yaar main bahut confused hu. Mujhe samajh nahi aa raha ki yeh pyaar hai ya main dost hu ? Mujhe kyun bura lag raha hai jab woh Nibin se zyaada close ho rahi hai. Mujhe yeh ajeeb kyun lagta hai jab woh mujhe apna friend bolti hai ?
Wahan se jawaab aaya, dekh Naushad tere dil mai kuch aur hai jo zubaan pe aa nahi raha hai. Woh teri dost hamesha rahegi per tujhe iss baat ka darr hai ki Nibin uska pyaar bann raha hai. Tere dil mai dosti hoti to tujhe iss baat se farq nahi padta, per tujhe ussey pyaar ho gaya hai. Yeh tujhe pata hai per tu maan nahi raha. Meri baat maan, tu usey apne dil ki baat jaake bol de. Issey pehle woh kisi aur ki ho jaaye, baad mai regret mat hone de. Kal valentines day bhi hai to issey accha mauka to milega nahi. You are in love buddy..maan le baat, der na ho jaaye kahin.'
Phone rakhne ke baad mujhe bhi yeh realise hua. To kal uski bio class ke baad jab woh akeli hogi tab ussey baat karunga. Bata dunga usey aaram se, dost hai feelings samajh jaayegi. Meri bhi jitni uljhane hai uske baad sulajh jaayengi.
To kal hamari class thi, woh bhi apni class mai ab tak pohoch gayi hogi. Waise bhi aaj kal jaldi hi aa jaati hai woh, kehti hai ghar mai padha nahi jaata abhi. To main bhi himmat kar ke, mushkura ke class ki taraf badh raha tha. Chalte-chalte gate ki taraf ab main pohoch hi gaya tha. To thoda sa darwaaza khola maine, per ussey pehle gate pe lage glass se mujhe Haniya ke saath Nibin dikha. Darwaaza khulne ki wajah se mujhe aawaaz sunaai de rahi thi aur dekha to Nibin red rose leke khada tha.
Mera dil zorr se dhadhakne laga, mujhe ehsaas hua ki main late ho gaya. Kaanp raha tha main ek do baar aanshu bhi tapke phir kuch ajeeb laga mujhe, jab unki baat suni maine. Nibin bhi meri tarah udaas dikh raha tha. Dekhne se to laga Haniya ne usey mana kar diya tha. Maine bhi aanshu poch liye shayad pehle hi zyaada soch liya. Woh bhi shayad mujhse pyaar karti hai tabhi to Nibin ko naa kiya.
Phir Haniya ne Nibin se kuch kaha - 'Sorry Nibin, I am committed to someone else, please don't mind yaar. l'am in a serious relationship, to hum friends hi badhiya hai na. Tu, main, Naushad ek dum besties yaar. Bol sahi hai na ?'
Ek second Nibin ka muh to latka hi hua tha, mere bhi kandhe jhuk gaye. Maine abhi tak kuch kaha bhi nahi per mujhe mere saare jawaab mil gaye. Bina propose kiye hi main reject ho gaya. Ya iss baat ka shukar manau ki accha hua jo mujhe pata lag gaya.
Main Nibin ko leke ghabra raha tha per woh to syllabus mai tha hi nahi. Mere saamne woh usko reject kar rahi thi per dard mujhe bhi hua utna hi. Kya karta main ? class mai jaake chup-chaap baith gaya.
Thodi der baad Nibin aaya mere pass muskuraata hua. Lekin uss hassi ke peeche ka dard main samajh sakta tha. Phir class mai sir aaye aur revision ke liye questions de diye. Poori class mai pin drop silence, sab apne-apne mai busy ho gaye. Haniya aaj 10 minute class mai late aayi. Usey bhanak bhi nahi thi ki ek saath do logo ke dil toote the aaj. Per dost hai yaar woh, pehle jaisi wahi puraane 3 idiots, Haniya, Nibin aur Naushad.
Woh baithi mere bagal mai aur shaant si class mai mujhe bula ke poocha - 'Karna kya hai ?'
Mujhe bilkul pehli mulaqaat jaisa laga. Main muskuraaya, usey sheet di aur bola - 'Iss mai jo questions hai woh note karna hai.'
Hum dost hi theek hai yaar. Pyaar ko abhi zara daba leta hu. 11th to abhi khatam hone ko hi aayi hai, to thoda pyaar 12th ke liye bhi bacha leta hu.
-M. N².