
Hum dono ki jugal bandi badhi kamaal ki hai !
Woh ladki jo hai na bilkul mere khayaal si hai !!
Aankhon hi aankhon mai hamaari baat ho jaati hai. Main uske ishaare, woh mere ishaare se har kahaani samajh jaati hai. Hum behad kareeb hai ek dusre ke. Main ussey koi baat nahi chupata apni aur woh bhi apne saare razz khul kar mujhe bataati hai. Kuch hatke hai woh pagal si sabse, iss film series ke zamaane mai woh aaj bhi safar karte huye bahar ke nazaaron ko pasand karti hai. T.V. serials se door hai woh, meri tarah bass cartoons hi dekhna pasand karti hai. Baat karne ko kahu to kehti hai ki abhi busy hu, per har baar mere phone dekhne se pehle hi jhat se message kar deti hai. Woh lamhe jeena jaanti hai, unhe meri tarah diary mai kaid nahi karti. Woh rehti hai har uss pal mai, stories add nahi karti. Waise to thodhi chup-chup si reh leti hai, per jab mujhse baat karti hai to ek pal ke liye bhi chup reh nahi sakti.
Woh bass mujhse hi maan sakti hai agar kabhi rooth jaaye to. Woh bass mujhe phone karti hai, uske roone ka mann ho ya kabhi toot jaaye to. Gusse mai keh to deti hai mujhe kisi ki zaroorat nahi hai, akela chodh do mujhe, per gussa hamesha mujh per hi nikaalti hai, agar kabhi ubb jaaye to.
Abhi bhi bachpana hai uss mai, baarish ko dekh kar baccho ki tarah khil si jaati hai. Badal se girti har boond ko apne haatho se chuna chahti hai. Baarish aur uske khel mai kuch haseen bachpana iss tarah hota hai,
jisey dekhe bagair main kaise kahun, meri aankhein reh hi nahi paati hai. Main kahu LUL bheego mat, bemaar padh jaogi, to ulta ujhse hi chodh si jaati hai. Raaton mai baat karte-karte mujhse soo jaati hai woh aur jab jaagti hai to ulta mujhse gussa ho jaati hai. Jo bolti hai woh kar bhi deti hai woh, per karne se pehle bahut sar khaati hai. Woh meri badygaurd hai, mere kisi se bhi ladh jaayegi. Meri problem khudh ke sar leke, khudh hi problem mai padh jaayegi.
jisey dekhe bagair main kaise kahun, meri aankhein reh hi nahi paati hai. Main kahu LUL bheego mat, bemaar padh jaogi, to ulta ujhse hi chodh si jaati hai. Raaton mai baat karte-karte mujhse soo jaati hai woh aur jab jaagti hai to ulta mujhse gussa ho jaati hai. Jo bolti hai woh kar bhi deti hai woh, per karne se pehle bahut sar khaati hai. Woh meri badygaurd hai, mere kisi se bhi ladh jaayegi. Meri problem khudh ke sar leke, khudh hi problem mai padh jaayegi.
Apni dosti kaafi gehri hai, kaafi gehri matlab kaafi gehri. Hum jagadhte bhi itna hai ki tum log soch bhi nahi sakte hai. Per kya karen, hai to ek-dusre ke hi na, to ek-dusre ke bagair reh bhi nahi sakte, bilkul jaise Tom & Jerry.
Main bhi roo deta hu, jab woh kabhi rooti hai. Jab koi nahi dikhta na door-ddor tak bass woh hi mere saath hoti hai. Khudh pareshaan hokar mujhe hasaane ki koshish karti hai. Aisi dosti shayad kam hi logoke hissey mai hoti hai. 24 ghanto mai se 25 ghante hum baat karte honge. Kitne hi log rishte per hamare ulte-seedhe sawalaat karte honge.
Ladka aur ladki dost ho sakte hai jaise hum. Aaj bhi iss baat per shayad kam hi log vishwaash karte honge. Khair,
Hamari jugalbandi badhi kamaal ki hai,
woh jo ladki jo hai na bilkul mere khayaal si hai !!
-M. N².