Ek pagal sa ladka paglon ki tarah ek pagal si ladki pe marta hai. Ek dabi ummeed se rozana uska woh intezaar karta hai. Waise to uske dost usey kanjoos keh kar bulaate hai, per uske liye kuch bhi laane ko zara bhi nahi jhijhak'ta hai. Ek pagal sa ladka paglon ki tarah ek pagal si ladki pe marta hai. Woh apne naam se milakar uska naam likha karta hai.
Uski nazron mai uske chehre ke alaawa aur kuch bhi nahi dikhta hai. Waise roona to usey kisi bhi baat per aata nahi, per uske aanshoo jo dekh le, na jaane kyun woh rooya karta hai ? Ek pagal sa ladka paglon ki tarah ek pagal si ladki pe marta hai.
Uski tareefe karne mai woh zara bhi nahi thakta hai. Uska hi naam leke uthe jab subha woh jagta hai. Waise to kisi bhi baat se ghabrata nahi hai woh, per uske bichadne ka darr na jaane kyun usey lagta hai ? Ek pagal sa ladka paglon ki tarah ek pagal si ladki pe marta hai.
Apni fikar nahi usey bass woh ussi ki parwah karta hai. Ussey milne ke liye sabse jhooth bola karta hai. Waise shaunk nahi hai usey daant sabse khaane ka, per uski chahat mai usey yeh bhi accha lagta hai. Ek pagal sa ladka paglon ki tarah ek pagal si ladki pe marta hai.
Jiss raat uska khawaab na dikhe, uss raat ka soona usey bekaar lagta hai. Woh usey apna maane ya nahi, per woh usey apna sab kuch samajhta hai. Waise neend nahi aati usey raaton ko, per uske khaab ko choone ke liye zabardasti woh raat sooya karta hai. Ek pagal sa ladka paglon ki tarah ek pagal si ladki pe marta hai.
-M. N².