
Dekho zyaada ghuma phira ke nahi kahunga, kyunki ishaare tumhe waise bhi samajh nahi aate hai. LUL tum acchi lagti ho mujhe, kyunki tum acchi ho yaar. Lekin aur bhi bahut se kaaran hai, jo tumhe itna khaas banaate hai.
LUL tumhari baatein, jinhe sunn kar main, apne din raat guzaar sakta hu.
LUL tumhari hassi, jisey bass dekh kar hi main, apni har takleef mita sakta hu.
LUL tumhara gussa, ab gussa tumhara hai, to yaar woh bhi pyara hi lagta hai mujhe.
LUL tumhari aankhein, unhe dekh kar to mera bass unn mai doobne ka mann karta hai.
LUL tumhare baal, jinme ulajh kar mera sulajhne ka mann hi nahi karta hai.
Yaar tumhe pata ho ya na pata ho, per tumhe pata hona chahiye ki koi hai jo tumhare khush hone per tumse bhi zyaada khush hota hai. Issiliye udaas mat hua karo, to meri khushi ke liye hi sahi per tumhe har waqt hasste rehna chahiye. Main woh gaana ban'na chahta hu, jisey sunn kar tum kisi alag hi duniya mai kho jaati ho. Main woh dost ban'na chahta hu, jisey apni zindagi ki tum saari kahaaniyan bataana chahti ho. Maine kabhi aise bataaya nahi tumhe, shayad tumhe khone ke darr ki wajah se. LUL tum acchi lagti ho mujhe, kyunki tum acchi ho yaar. Bass abhi ke liye to yahi kehna tha tumse.
-M. N².