
Main bhi to jhooth hi nikla yaar,
Kehta tha jee nahi paunga tumhare bina
Per dekho na...main jee raha hu !
Tumhare baad kisi se baat tak bhi nahi kar paaunga,
Lekin dekho....main kar raha hu...!!
Kabhi - kabhi sochta hu ki main
kuch galat to nahi kar raha
Tum yaad karne per yaad aa rahi ho
Aisa kyun ?
Main kisi aur ke saath hassta hu to bura kyun lagta hai ?
Kyun lagta hai ki dokha kar raha hu main tumhare saath
Pyaar saccha ho to ussey move onn karna mumkin nahi hai
Aisa hi sunta aaya tha main
Ki agar tum bhool gaye to usey to woh pyaar tha hi nahi
To mera pyaar bhi jhootha tha kya ?
Yaadein to pareshaan karni chahiye tumhari
Lekin dekho kar hi nahi rahi
Beech - beech mai aisa kyun lagta hai
Ki main tumhe replace kar raha hu !
Chodh ke to tum mujhe gayi ho
Aur main hi guilt mai jee raha hu !!
Ek waqt tha jab tumse baat kiye bina soota nahi tha
Ab neend kaise aa jaati hai ?
Woh sahi the kya jo kehte the ?
Aadat kaisi bhi ho chooth jaati hai
Maine bhi to kitne waade kiye the tumse
Poore to main bhi nahi kar paaya na
kaha tha ki dil tumhare baad kahin lag nahi paayega
Per lagaane ki koshish to kar hi raha hu na
Khush rehna bhi saza sa kyun lag raha hai ?
Tumhare chodh jaane ke baad bhi
tumhe chodhne mai bura sa kyun lag raha hai ?
Kyun main jaan boojh kar yaad karna chahta hu tumhe ?
Ki main apni nazron mai sahi rahu ?
Ki mera pyaar to jhootha nahi tha
Saari galati tumhari thi
Aur main aba tak dard mai hu
Move onn nahi kar paa raha tha to gadbadh
Ab uss rah chal diya
To aur gadbadh
Kya kiya jaaye ?
-M. N².