Yaar logo ne mujhe pareshaan kar diya hai yeh pooch-pooch kar ki, LUL kon hai ?, LUL kon hai ? Dekho tumse kiye huye waade ke mutaabik to main bata nahi sakta ki tum asal mai kon ho ? Per jata to sakta hu na ki tum kon ho ? theekh hai…………!!
LUL woh hai jiska zikar karte-karte mere chehre per alag si muskaan hoti hai aur yeh muskaan sirf chehre ki nahi balki rooh ki muskaan hoti hai. LUL sardi mai dhoop ki pehli jhappi si hai. LUL woh hai , jab mujhe raat ko neend na aaye, aur ussey baat kar lu to sukoon bhari neend pakki hai.
LUL naye-naye ishq ka pehla spars hai, aur ussi chuan se aata emotion ka rush hai LUL. Gaal per lage rung ka pehla rang hai LUL, aur bebaak ishq jaisi duniya se malang hai LUL. Samandar se baat karti woh nadi ki boond hai LUL. Samandar ke bheetar sabse chupe huye motiyon ka jhund hai LUL. Akele dhoop se khelti bachkaani hatheli hai LUL. Aur kuch na bol kar bhi sab kuch bolti paheli hai LUL. Puraani dairy mai rakhe gulaab ki mehak hai LUL. Aankhein namm karti yaadon ki chehak hai LUL. Dil ke pass rehti, baat samajhti seyyaani hai LUL. Aur agar door ho to chain na aaye woh sayyoni hai LUL. Kahan se kahan pahuchti yeh kahaani hai LUL. Aur doobte suraj ke baad ghar waapas aati shaam suhaani hai LUL. Kuch to hai LUL, meri zindagi mai na reh kar bhi hamehsa hi reh gayi hai LUL. Aur..................aur kya hai LUL.
LUL ek aisa insaan hai, jisko main kabhi paa nahi sakta, balki jitna paane ki koshish karunga utna hi khudh ko khota jaunga. LUL woh hai jisko main apni zindagi mai rakh to sakta hu, per apni zindagi nahi bana sakta.
LUL woh hai, jo dard bhi hai, jitne dard mujhe aaj tak nahi mile, utne dard mujhe LUL se mile per iss dard mai ek sukoon bhi hai. LUL mera sukoon hai, ki jitna usko yaad karta hu, ya kabhi baat karta hu, to utna sukoon mujhe kahin bhi nahi milta hai, jitna LUL ko yaad karne se baat karne se milta hai.
LUL saza bhi hai aur maza bhi hai. LUL ko chahna, na-paana, ussey na mil paana mere liye saza hai. LUL ka intezaar karna aur usko chahne ka ek alag maza bhi hai. aur.............aur kya hai LUL ?
LUL ek aisa................ek aisa bhavandar hai ki jisme mai thehar jaata hu. LUL ek aisa…………………ek aisa toofaan hai ki jisme mai sambhal jaata hu. Aur kya hai LUL ?
LUL hai bass......!!
-M. N².