
Kitna sukoon hota hai bechaini mai tumhari,
Yeh meri aankhon se aake poocho tum !
Jo bina palke jhapkaaye tumhare khayaalon ko,
Aise pirooti hai raat ke andhere mai,
Jaise iska sabse zaroori kaam,
Bass tumhari yaadon ko saja kar rakhna hai !!
Yeh meri aankhon se aake poocho tum !
Jo bina palke jhapkaaye tumhare khayaalon ko,
Aise pirooti hai raat ke andhere mai,
Jaise iska sabse zaroori kaam,
Bass tumhari yaadon ko saja kar rakhna hai !!
Kitni gehri hoti hai na woh raatein bhi,
Jinme zikra tumhare soote hai !
Kitni khoobsurat hoti hai na woh baatein bhi,
Jinme zikra tumhare hote hai !!
Koi to baat hai tum mai,
Be-wajah yuh yaadein rehti nahi !
Koi to baat hai mujh mai,
Jo jaan kar bhi main kisi se kehta nahi !!
Be-wajah yuh yaadein rehti nahi !
Koi to baat hai mujh mai,
Jo jaan kar bhi main kisi se kehta nahi !!
Shayad,
Shayad koi sukoon ho tum,
Jo toot raha hai mere andar !
Shayad koi sukoon ho tum,
Jo toot raha hai mere andar !
Shayad,
Shayad koi dard ho tum,
Jo foot raha hai mere andar !!
Shayad koi dard ho tum,
Jo foot raha hai mere andar !!
Jo beshumaar hai tumhari tarah
Mujh mai hazaar hai inn sitaaron ki tarah !
Jo rehta hai jaise yeh makan uska hai,
Jo behta hai jaise yeh saara jahan uska hai !
Jo kehta hai hazaaron baatein mujhse,
Jo kehta hai hazaaron wajah apni !!
Shayad tum sab jaante ho,
Shayad tumhe sab pata hai !
Ya shayad bass mai hi sochta hu,
Inn kahaaniyon ke baare mai,
Jinke liye soch ke kahan kuch hota hai !!
Kitna sukoon hota hai bechaini mai tumhari,
Yeh meri aankhon se aake poocho tum !!
Yeh meri aankhon se aake poocho tum !!
-M. N².