![](https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEiGwCaEdRUke9AX7La08cBeCRbex-nihF6V15glvm4ASNGuO55wJ9APv4qtehU5653SWpkqDYHhwNCzxOe_v_VMZxP59OmFP-NimJVQenpaFnUoil1YUknqCatWj8rHGgryFaZQ1E_hoHyxeUuCdBtI5u-Nh3yuCpS7m4rNaIfmpLKF5zUj2GC_pQmlWoY/s16000-rw/fotor-ai-20240915121253.jpg)
| Main uska just friend tha na, just friend hi reh gaya tha |
Kuch din beete aur sab kuch normal sa ho gaya tha. Woh mere saath ab bhi utna hi waqt guzaarti thi, aur main bhi pehle jaisa ho gaya tha. Maine ussey puraani baaton ka zikar kiya nahi tha, to usko kuch pata nahi tha. Uski life main koi aur tha aur mere mann ke kisi kone mai yeh baat aaj bhi dabi thi ki main uska bass just friend tha. Maine bhi apne dil se kaha yaar let it be, dil se reply itna hi aaya, okay bro, lets see.
Jab woh mere saath bilkul normal hai to main udaas-udaas sa kyun behave karun ? Chaand ki khwahish aaj bhi hai, per zaroori to nahi ki paa hi lu. Uske naam se log aaj bhi mujhe chedha karte the, per pehle jaisi feelings nahi uth'ti thi. Ab main bhi reality accept kar chuka tha aur iss mai mujhe koi problem nahi thi. Woh kisi aur ki hai aur meri bass friend hai. Kitni bhi koshish kar le, teri life jhand hai.
Woh aaj bhi jab apni baatein share karti thi to mujhe accha lagta tha. Per mera mood tab kharaab ho jaata tha jab uski baaton ke beech mai uss teesre ka zikra hone lagta tha. Bahut koshish karta tha main topic change karu, per uski zubaan per bass ek hi naam rehta tha. Dusri baat shuru karu bhi to kaise karu ?
Ek din usne uski kahin se photo chura li thi aur yeh baat woh aa kar mujhe bata rahi thi. Mujhse kaha - 'Please kisi ko mat batana, usey present mai gift surprise dungi, promise karo na.' Usne uske liye ek poetry bhi likhi thi, aur meri likhavat usne abhi tak padhi bhi nahi thi.
Yeh love triangle bhi accha tha, main singer, woh dancer aur ek guitarist tha. Woh kehte hai na guitarist cool, stud hote hai, shayad issi baat ne usey uska deewana kar diya tha.
Aise hi din chalte gaye aur kuch maheene beet gaye. Hum world cup mai pakistan se ek baar phir se jeet gaye. Agle din bhi issi baat ko lekar charcaha thi aur sab bahut khush the. Per woh kahi aur hi khoyi hui thi aur uski aankhon mai aanshu the. Woh baat kuch aur thi aur woh zyada hi chup-chup thi. Ek hi taraf aankhein laga kar wo kuch aur hi soch rahi thi.
To maine ussey na pooch kar uski ek friend se poocha, - 'Excuse me ! Yeh aise behave kyun kar rahi hai ajeeb sa ?'
To usne bataya woh udaas hai kyunki uska break-up ho gaya hai. Aaj mere saamne bhi bahut royi hai, yeh theek nahi hua hai.
1 second…Break-up…uss guitarist ke saath uska break-up ho gaya ? Arey wah, zyaada wait bhi nahi karna padha aur mere raaaste ka patthar saaf ho gaya. Main mann hi mann mai muskuraane laga, mera dil ander se naachne laga. Aur phir main uske pass gaya, saath mai baitha aur poocha, - 'Hey, kya hua hai ?'
Usne apni kahaani ko sunaana start kiya. Mujhse baat karte waqt usne puraani yaadon ko taaza kiya. Aaj pehli baar aisa hua tha ki woh roo rahi thi aur main hass raha tha. Mujhe bura bhi lag raha tha yaar ki maine aisa to waise kabhi nahi chaaha tha. But anyways, ab phir se wahi puraani koshish jaari hogi. Ab woh meri taraf se, phir se meri wali hogi. Bhagwaan se dil se dua maangi thi na ki main uska bass just friend nahi rehna chahta. Uske headphones ka replacement nahi rehna chahta, to bhagwaan ne shayad dua meri sunn li thi.
Woh udaas-udaas si rehti thi. Main usko khush karne ki koshish karta. Aankhon mai aankhein daal kar uski aankhein padhne ki koshish karta. Main bahut khush rehne laga tha, hamesha smile karte rehta tha. Yeh jo dusra mauka mila tha, isko ab main khona nahi chahta tha. Woh mere kareeb thi to kis baat ki kami thi, meri haathon ki lakeerein uski lakeeron se milne ke liye hi bani thi. Thode waqt ka intezaar tha, intezaar tha sahi mauke ka. Abhi jaisa chal raha hai waisa chalne dete hu. Usko time do bahar aane ka.
Ab wahi normal baatein hoti thi aur uski muskurahat bhi wapas aa gayi thi. Main din-ba-din usey kisi tarah motivate karte rehta tha, woh samajh jaati thi. To maine phir se usey thode bahut hints dene shuru kiye. Per uss bad-dimaagh ladki ne ek ishara tak nahi samjha. Ab uske saath waqt guzarta rehta aur pata hi nahi chalta ki kab guzar gaya. Aise hi phir kuch aur maheene beete aur naya maheena aa gaya. Hamari baat ban'ne wali thi mujhe lag raha tha. Seriously yaar iss friend-friend mai ab zyada time ho gaya tha. Per meri qismat itni bhi acchi nahi thi. Shayad woh zindagi mai meri likhi hi nahi thi. Kuch accha nahi hone wala hai, mujhe lagne laga tha. Iss kahaani mai abhi todha aur twist bacha tha. Ussey dil ki baat kya kabhi keh bhi paunga ? Ya phir se adhoora reh jaunga ? Kyunki uske behaviour mai thoda change sa aa gaya tha.
Achanak uski baaton ka style mujhse formal ho gaya tha. Maine to koi aisi harkat bhi nahi kari ? Pata nahi kisney usey kya keh diya tha. Woh thodhi kati-kati si rehne lagi, per baat to mujhse karti hi thi. Uska interest mujh mai ghat na jaaye, jaldi se dil ki baat kehni padhegi. Romantic hone ka reason bhi hai, autumn ka season bhi hai. Aayine mai poori raat andaaz select kiye, ab jald se jald bolna bhi hai.
Agle din gaya....uska intezaar kiya....per uss din woh aayi hi nahi wahan ? Dusre din bhi aisa hi hua, main khaali haath laut gaya. Per teesre din woh mili mujhe. Dil se ek awaaz aayi, sahi mauka hai bhai bol de.
Maine kaha - 'Mujhe tumse kuch kehna hai.'
Usne kaha - 'Mujhe bhi aapse kuch kehna hai.'
To maine kaha - 'Okay, pehle tum kaho.'
Usne kaha - 'Nahi...nahi, pehle aap kaho.'
Pehle tum,
Pehle aap,
Pehle tum,
Pehle aap,
Aur end mai usey hi haar maan'ni padhi aur uss hi ne baat shuru kari. Main muskura kar uski baatein sun'ne laga.
Aur usne kaha - 'Kal mera last day hai tumhare saath mai. Iss sehar se shift ho rahi hu, to milenge phir kabhi baad mai.'
'Kya ?' - Main shock ho gaya.
Phir usne poocha - 'Aap bhi kuch kehne wale the na ?'
Mera hosh to ab bacha nahi tha, to maine kaha - 'Nahi....haann woh....kuch khaash nahi tha, bass aise hi.'
Woh chali gayi yeh keh kar ki bahut kaam baaki hai, baad mai milenge. Per mujhe pata tha usne kaha to hai hum baad mai milenge, per woh nahi milne wali hai. Uski aadat se main waaqif tha aur apni qismat per to mujhe poora bharosha tha ki jisko main chahunga woh mujhe hasil nahi hoga. Ab yeh haqeeqat banta dikh raha tha mujhe. Aakhir-kaar pehli baar bhagwaan ne meri dua sunn hi li. Meri wish thi na ki main uska just friend nahi rehna chahta. Ab sach mai yaar main uske liye bass ek just friend ki tarah bhi nahi reh gaya tha. Uske headphones ke replacement ki tarah bhi nahi reh gaya tha.
-M. N².