![](https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEgWvedRgsrE0bQngYQLRKL6xXvueVzaxYDpOTrmSSLjjLi9Qg6uND9_edsGMe2wxCQtsZg0PnCppPnc8jvFln9XrJ-z1U-HT4_hW9R0AIr-0HW_vnW0ltpVrh5GhS4ZDWdawHuKbXekQpLgRYZjB6USvVZ2xz0ZrZPKk9IJ50X1lo8EtfFSYY9WV9DrRNI/s16000-rw/fotor-ai-20240916184038.jpg)
Dost hi theek hai hum abhi filhaal
Pyaar ko abhi zara daba leta hu !
11th to abhi khatam hone ko hi aayi hai
To thoda pyaar 12th ke liye bhi bacha leta hu !!
To finals vegereh ab khatam ho gaye. Thode din mai result aaya aur theek-thaak number se pass bhi ho gaye. 11th class sach mai kaafi mushkil thi ab 12th mai dekhte hai kya hota hai?
Exam ke baad waali chuttiyan bhi khatam hui. Naya session, naya batch ab start hona hai. To ek maheene ke baad ab tuition mai phir se kadam rakhne jaa raha tha.
Ek side se Haniya bhi aa rahi thi aur dusri side se Nibin bhi aa raha tha. Hum teeno ek doosre ko dekh kar muskuraaye ,haath milaaya aur pohoche class ke andar. Main to fresh start hi dena chahta tha iss dosti ko pehle ki tarah shuruat se lekar, per hota hai na kahin-na-kahin kuch bacha reh jaata hai. Pyaar ho jaane ke baad dost jaisa rehna kaafi mushkil ho jaata hai. Per dheere-dheere koshish kar raha tha main. Dil pe patthar rakh ke bhi hass raha tha main. Nibin bhi apne rejection se move on kar chuka tha, lag raha tha. Per uski aankhon mai aaj bhi Haniya ke liye woh puraana Nibin dikh raha tha.
Aaj phir se class ki shuruaat thi. Hum teeno bhi jaake apni jagah last benches pe baithe the. Sir aaye aur pehle din to kuch padhaana tha nahi, to poori class se bass baat cheet mai hi lage the. Accha lag raha tha itne dino baad tuition mai peeche baith ke, teeno bass aaj games vegereh hi khel rahe the.
Haniya bata rahi thi ki inn chuttiyon mai usne kya-kya kiya hai. Aur sach bataun to Nibin aur main hum dono hi woh sunne mai interested nahi the. Kyunki yahi baat woh phone pe do baar pehle hi bata chuki thi. Uske boyfriend ke surprise visit se woh jitni khush thi woh baat hum dono ko andar hi andar utni hi jala rahi thi. To chehre pe to dikha nahi sakte the, to hasste-hasste baat ko ghuma hi rahe the.
Ab Nibin ke agar woh close bhi hoti thi to mujhe farq nahi padta tha. Kyunki mujhe pata tha jitna main hu uske liye woh bhi utna hi tha. Classes over hui to gaye dobaara momos ke stall pe. lPL ka season chal raha tha to main aur Nibin to ussi ki baat kar rahe the. Haniya khadi thi side mai conversation ka hissa ban'na chahti thi, per usey RCB ke alaava kuch pata hi nahi tha. Beech-beech mai comment bhi aise pass karti thi ki maano usey sab samajh aa raha tha.
Thodi der baad 7:30 baje, hum nikal gaye ghar ke liye. Pehle jaisa hi sab normal laga jo ki theek tha abhi ke liye. Ab phir se tuition mai kal se alag-alag kahaaniyan milengi. Pyaar, dosti, Padhaayi saari cheezein saath mai dekhni padegi.
To phir kuch dino tak kuch aisa khaash hua nahi. 12th mai aate hi hum pe itna pressure daal diya ki books ke alaava aur kuch dikha hi nahi. Abhi bass 1 hi maheena hua tha 12th mai aaye huye aur teachers ne bol-bol ke hi itna dara diya tha. Ek din mai 4-4 assignments milte the solve karne ko, padhaayi ko pata nahi kya alag hi race bana diya tha. Khudh ke liye bhi thoda sa waqt milta hi nahi tha.
Sach mai itna important hota hai kya 12th mai 95% laana ? Jisko bhi dekho uska goal topper ban'ne ka hi tha. Students saare robot bante jaa rahe the aur teachers ka continue tha daraana.
Ek din school se kuch assignment mile the jo ki kal hi submit karna tha, aaj tuition jaata to poora kisi haal mai nahi ho paata. To maine aaj koi bhi tution na jaana hi theek samjha. To school se aate hi phir lag gaya kaam pe aur dekhte hi dekhte shaam bhi ho gayi.
8 baje ke aas-paas Nibin ka mere pass call aaya. Mujhe laga yahi poochne ke liye kara hoga ki aaj aaya kyun nahi ? Chehra uska ek dum khila hua sa lag raha tha uski awaaz sunke. School aur tution ki thakaan dikh hi nahi rahi thi uss per aur aisa lag raha tha woh jaldi se mujhe kuch bataana chahta hai. Shayad aaj tuition mai kuch khaash baat ghati thi.
Aise pe bada gussa aata hai na, main 1-2 maheene tak bina break ke tuition gaya aur tab to bass woh ghisi-piti classes hi chal rahi thi. Aur bass ek din ki chutti li ki thoda kaam karlu aur ussi din mai har woh badhiya cheez mere bina honi thi.
Maine poocha ussey - 'Aur...bada khush lag raha hai, kya baat hai ?'
Usne bina kisi suspense ke bola - 'Oye.....Haniya ka break up ho gaya hai.'
Khushi to mujhe bhi bahut hui per Nibin ke saamne dikhaana theek hoga kya ?
Maine kaha – 'To iss mai itna khush hone ka kya hai, aur yeh sab achanak kaise hua ?'
Usne bola - 'Tujhe pata nahi hai shayad, lekin valentines day pe maine Haniya ko propose kiya tha aur woh committed thi. To usne issi wajah se shayad mujhe mana kar diya tha.'
Main mann-mann mai bol raha tha ki mujhe sab pata hai beta. Main uss waqt bahar hi tha. Aur jitna dukh tujhe hua tha uss waqt, utna hi mujhe bhi hua tha.
Maine kaha - 'Phir....Haniya to udaas hogi ? Usne tujhse kya kaha ?'
Usne bola - 'Usne zyaada kuch bataaya nahi. Thodi pareshan to thi, lekin keh rahi thi mutual tha. Aur thode din mai normal ho jayegi woh,. Kam se kam uske boyfriend ke kissey to nahi sun'ne padenge na. Aur mujhe teri ek help bhi chahiye yaar, - 'I really like her' aur shayad ab hum ek ho sakenge.' Tu usko mujhse pehle se jaanta hai aur shayad mujhse zyaada bhi. To usko impress karne mai meri help karna, main phir se fail hona chahta nahi. Bass mujhe uski pasand-na-pasand, kya karna chahiye kya nahi karna chahiye, sab bataate rehna. Main usko iss baar paana chahta hu, to please..please...please...help karega na meri ? Bol na Naushad ?
Main soch raha tha main iski help kaise karun ? Apni pasand kisi aur ko kaise saunp du ? Main kal ho na ho ka Aman nahi ban'na chahta. Main apni kahaani jo poori ho sakti hai, usey adhoori nahi chodhna chahta. Maine socha isko mana kar deta hu koi bahaana bana dunga. Phir ek khayaal yeh bhi aaya ki issi ko istemal karu kya ? Phir issi ko raaste se hata dunga. Yeh bharosa kar ke mere paas aaya hai, aur main galat tips bhi dunga to isko to sahi lagegi aur phir meri baat sunke jab yeh act karta rahega to Haniya isko nafrat se mana kar hi degi. Aur phir mera raasta khaali, uski zindagi mai bhi sirf main hi rahunga. Nibin se bhi dosti kharaab nahi hogi. Abhi thodi der haarna hai per ant mai to main hi jeetunga. Haan.......jaanta hu villain jaisa sound kar raha hu main per kya karu…Haniya mujhe aaj bhi acchi lagti hai. Aur main apne hi haatho se kisi aur ka haath uske haath mai nahi de sakta. Yeh saari kurbaaniyan sirf filmo mai hi acchi lagti hai.
Poora sochne ke baad maine kaha Nibin se – 'Theek hai...tu itna keh raha hai to tere liye yeh bhi sahi.'
Woh khushi se jhoom utha, mujhe gale lagana chahta tha per door tha to laga nahi saka. Mujhe bura bhi laga per pyaar mai chalta hai aisa kabhi-kabhi. Woh muskuraata hua shukriya keh ke phone rakh ke chala gaya.
Thodi sympathy to Haniya ko bhi chahiye hogi, to maine usey message kiya. Baaton se theek hi lag rahi thi woh, ki theek hi hogi per andar se pata nahi ? 1.5 saal ka rishta toota tha thoda to udaas hui hogi. Aur inn sab baaton mai dekho abhi bhi aadha assignment bacha tha. Jo pehle frustrated hoke solve kar raha tha woh ab hasste-hasste ho raha tha.
Ab bass kuch din aur phir mujhe pyaar ko chupaane ki zaroorat nahi padegi. Sorry Nibin main aisa karna to nahi chahta, per apne pyaar ke liye yeh cheez bhi karni padegi.
To kal jab main ab Nibin se mila. Maine kaha ussey – 'Dekh jaisa main bolta jaunga na, waise hi karte jaana hai tujhe.'
Aur yahan se usko mere raaste se nikaalna maine shuru kiya. Bura lag raha tha ki main uske saath dhokha kar raha hu, jisne mujh pe bharosa kiya.
Flirting ke badle usko roast karne ko kaha yeh keh kar ki bahut hi cool lagega. Aur iske peeche ki script saari main hi likh raha tha. Woh hassti thi uski baat pe, per uska reaction ajeeb hota tha. Nibin ko lag raha tha meri tips kaam kar rahi hai. Per usey kya pata tha andar hi andar baat bigadh rahi hai.
Haniya novels padhne mai itni intersted thi nahi maine Nibin se kaha -'Usey books bahut pasand hai.'
Maine bola - 'Uske kandhe pe haath rakh ke chala kar, thoda close aa jayega.' Jabki mujhe pata tha ki usey yeh cheez kitni na-pasand hai.
Usne present mai bhi usey ek book gift kari aur agle din bade pyaar se poocha - 'Haniya kya tumne uss book ko padhna start kara kya ?'
Haniya ka chehra bhi uss waqt dekhne waala tha bilkul. Mann-mann mai pakka bol rahi hogi yeh kahan phass gayi main.
Nibin ko main har dum poke karta rehta tha ab yeh bol, ab yeh pooch ussey. Ab Haniya ki shakal pe bhi dikhna chaalu ho gaya tha ki woh irritate ho rahi hai ussey.
Ek din to Haniya ne mujhse bhi aake poocha - 'Yeh Nibin ko ho kya gaya hai ? Itna alag behave kyun kar raha hai ?'
Maine kaha - 'Haan...pata nahi thoda alag-alag sa to lag raha hai.'
Maine socha agar aise hi chalta raha to Haniya saamne se Nibin ko iss baat ke liye tok degi aur phir Nibin kahin shayad mujh pe hi doubt karne laga to, phir meri saari tayyaariyan aise beech mai hi dum todh degi. Mujhe to yeh chahiye na ki Nibin usko propose kare aur Haniya usey saaf-saaf clear cut mana karde. Kyunki phir do baar reject hone ke baad teesri baar koshish kaun karega ? Aur abhi ussey woh tang ho rahi hai usey, yeh bhanak bhi nahi lagni chahiye. Kya pata ussey pehle hi woh apne actions change karde ?
To maine socha usey beech-beech mai kuch sahi baat bhi bata di jaaye. Jissey usey yeh lage meri baatein asar kar rahi hai, aur woh meri baatein sunta jaaye.
To kuch sahi aur zyaada galat tips ke saath maine plan mai thoda change kiya. Sab kuch mere mutaabik chal raha tha, jaisa bola maine waisa usne kar diya.
To ab maheene beet gaye, usey bhi yeh lagne laga Haniya kuch close to aa gayi uske. Thode dino mai half yearlys aane waale the. Maine sujhaav diya ki issey pehle hi propose kar diyo usey. Woh khush tha ki Haniya ab samajh rahi hai ki woh uske liye kitne efforts kar raha hai. Per uss bechaare ko kya pata tha woh galat jagah haan ki ummeed kar raha ha.
To main bhi apne plan ki ab aakhiri seedhi chadh raha tha. Propose karte time usey awkward aur embarass feel karaana tha. Jissey Haniya ki taraf se bhi aakhiri mana ho jaaye. Aur Nibin ke sir se bhi pyaar ka yeh bhoot utar jaaye.
Maine bhi Nibin ko mana liya. Woh maan nahi raha tha mere tareeke se propose karne ke liye. Phir usne bola - 'Ki teri wajah se hi yahan tak pohocha hu, to yeh baat bhi maan lete hai tere liye.'
Maine kaha ussey ki tujhe kuch bada karna hoga. Jaise sab karte hai waise nahi, alag tareeke se propose karna hoga. Jab woh apne school se chutti time, woh apni dosto ke saath walk kar ke ghar jaa rahi hogi to tujhe akele mai nahi, uski saari dosto ke saamne apne dil ki baat bataani hogi. Ladkiyon ko confident ladke bahut pasand hai, jannat ka Emraan Hashmi yaad hai na ? Bass thodi si himmat ussi ki tarah dikhani hogi, aur mujhe pata hai woh hai tujh mai. Main bhi tere saath hi chalunga, bass deewar ke peeche kahin chhup ke hi khadha rahunga.
Mann-mann mai to poora scene soch liya maine ki sabke saamne uski bezzatti hogi, to Haniya ko to bhool hi jaayega. Phir pyaar karne ka to chodho, uske saamne aane se bhi sharmayega.
To ab woh waqt aa gaya jiska mujhe besabri se intezaar tha. Haniya apni 3 dosto ke saath saamne se aa rahi thi aur Nibin bhi tayyaar tha. Main deewar ke peeche se director ki tarah poora scene dekh raha tha. jiss picture ki script maine likhi hai, uska climax abhi shuru hona tha.
Nibin gaya Haniya ke paas, Haniya usey dekh kar surprise hui. Filmo ki tarah jake ghutne pe baith gya sabke samne. Meri to ek dum se hi hassi bhi chooth gayi. Haniya ke chehre pe woh bechaini nazar aane lagi. Uski dosto ne bhi kuch kaha nahi bass ek doosre ko dekh kar muskuraane lagi. Nibin ne apna dialogue shuru kiya, Obviously maine hi bola tha bolne ke liye. Woh abhi bhi ghutno pe baitha hua tha aur bass thodi der aur yeh drama hone ke liye. Haniya aur uske friends bina kuch bole usey sunte rahe. Usne jaise hi apni baat khatam ki woh teeno "awww" karne lage. Haniya bhi ab alag tareeke se muskuraane lagi, yeh embarassment to nahi thi. Main issi moment pe cut bolna chahta tha per main kya karta, yaar yeh koi film bhi to nahi thi.
Uski dosto ne guhaar lagaana shuru kari - 'He is so cute yaar. Say yes Haniya.....please...please.'
Main wahan se nakhoon chabaata hua soch raha tha yeh kya ho gaya ? Yaar yeh to nahi hona tha. Ab tak to Nibin pe hassne chahiye the yeh sab log, usey bezatti feel ho jaani chahiye thi ab tak to. Jo kahaani ab tak mere hisaab se chal rahi thi, woh shayad yahan se badalne waali thi. Haniya ne muskuraate huye Nibin ka haath pakda aur usey uthaaya, - 'Tum kabse efforts kar rahe ho mujhe dikh raha hai. I think I like you too, keh ke usey gale lagaaya.'
Main door khadha, muh khula ka khula, sochne ke liye bhi bache hi nahi koi shabdh. Itne dino se yeh naatak karke, apne hi pair pe kulhaadi maar gaya shayad.
Nibin uss taraf ghooma jiss taraf main khadha tha. Usne khushi se thumbs up dikhaaya mujhe. Uss waqt woh mujhe thenga dikh raha tha. Na chahte huye bhi kal ho na ho ka Aman bann hi gaya main. Usey galat bus mai bithaaya, woh phir bhi sahi jagah pohocha aur aise hi reh gaya phir se main.
Woh meri qismat mai hi nahi hai shayad. Sahi aur galat dono tareeke aazmaa liye. Main Nibin ko dekh kar muskuraaya aur apne kadam peeche ki ore badha liye.
Naushad ki zindagi mai Haniya ki dosti hi likhi hai, to bass dosti ki hi karte hai dekh-bhaal. Milna hoga to aage kabhi mil hi jayenge. Tab tak ke liye dost hi theek hai hum filhaal.
-M. N².