![](https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEipcq8D0tgs6JWJRQLjdaInO-K3I2XmmdaaRCpuNxR9BX0SkvCwgubwkL2PpHoq3OgNp4WBdJ9_P18kZtdqXqsdvgRJBPWp6EvpGF8DobBuVUESKd54d6wjM1Gg0tzQ4uFkMMMKopzL7xkOmPm_wm1ppb6_O1vWdIp2khpfobLHJYwXPU94NrVqxwR8cX4/s16000-rw/face-swap.png)
Ek ladka chup-chap baitha rehta tha,
Kuch kisi se jyada nahi kehta tha !
Doston se to ghula mila tha, Per ladkiyon se sarmaya karta tha !!
Khul ke woh baat nahi kar paata tha,
Ek anjaan si khwahish chahta tha !
Apne dard, apni hiqayat ko woh kabhi nahi batata tha !!
Jab ek din agaaz ek LUL si ladki ka hua,
Zindagani mai uski sawera hua !
Falak se malak utar gayi thi ab,
Akelapann uska sab door hua !!
Ek din jab uske saath woh baithi thi,
Usne hi ussey baatein shuru kari thi !
Woh jyada kuch to keh nahi raha tha,
Per muskaan uski sab kuch keh rahi thi !!
Jab rozz woh ussey baatein karne lagi,
Apni kuch khaash baatein who ussey batane lagi !
Who bhi khul ke baatein aur mazak karne laga,
Dheere-dheere uska dil who LUL si chori-chori churane lagi !!
Sirf who hi thi who pehli ladki,
Jissey khulke baatein usne kari !
Badlaav usme usi se hi aaya,
Aur uski talab usey chahne lagi !!
Uske yaaron mai uska naam LUL shumaar tha,
Woh baatein bhi usi ki kare, usme kaafi mashgool tha !
Woh uske saath rozz baatein karti thi,
Per dil ka dil se rishta abhi thoda door tha !!
Saath uss ladki ke beete pal uski zindagi bann gaye the,
Uske paas aane se uske lamhe tham gaye the !
Woh beintehaa mohabbat ussey karta raha,
Per lab uske izhaar kabhi yeh karte nahi the !!
Subah aakar apni khoobsurti se who uska din chamkaya karti thi,
Apni palke jhapkaye bina ussey nazrein milaya karti thi !
Garmi mai jab suraj ki kirne rozz-rozz usey jalaya karti thi,
To baalon ko apne khol kar who uss per apna saaya karti thi !!
Woh ladka uss ladki ko apna sab kuch kehta hai
who uske khayaalon mai khoya din bhar rehta hai !
LUL tu uski nazaron se kabhi dekha kar khudh ko,
Ki woh tujhse milne ke liye bechain kis kadar rehta hai !!
-M. N².