Mera waqt wahin ruka hua hai abhi bhi jab tumhe maine woh aakhiri baar dekha tha. Mujhe nahi pata ab tum kaisi dikhti ho ya kaisi lagti ho ? Mujhe to wahi chehra yaad hai, jab tumse main aakhiri baar mila tha.
Chehre pe alag chamak thi tumhare, aisi ki maano shaam ko bahar niklo to subah kardo. Aankhon mai khwaab se zyaada raaz bhare the. Dikhti to sabko hogi tum per nazar keval aate the mujhe. Hawa se jab tumhare baal bikharte the na pareshan ho kar unhe tumhe baandhna hi padta tha. Main phir bhi kehta tha aazaad rehne do unhe, kyunki woh nazaara mujhe rozz-rozz thodhi na dekhne ko milta tha. Kaali-kaali aankhein tumhari kaajal ke saath aur khoobsoorat lagti thi. Choti-choti si aankhein tumhari chashmein lagaane ke baad badhi si lagne lagti thi. Kandhe se thode neeche tak baal tumhare bikhre rehte the. Chehra chaand sa tha hi tumhara aur uspe bhi sitaaron ke tukde rehte the. Gulaabi hothon ko apne daanton se jab kuch sochte huye masalti thi na tum, sochte-sochte chehre ke apne kitne hi bhaav badalti thi na tum. Tumhe tayyaar hone ka bass bahaana chahiye hota tha. Tum suit pehen lo ya saaree, keher to machna hi rehta tha.
Maathe pe bindi kaano me jhumka aur dono haathon mai do-do chudiyan. Taareef ke liye shabdh milte hi nahi the, main behosh sa bass tumhe dekhta rehta tha. Tum muskuraati thi bilkui beparwah si hoke, bachpana tumhara har waqt mai shaamil hota tha. Bass apni adaaon ko sringaar sa pehen ke rakhti thi tum. Nazrein hataana tumse, tum khudh socho kitna mushkil hota tha. Mulaayam se haath tumhare main iss ummeed mai pakadta tha ki shayad meri aur tumhari lakeerein hamesha ke liye judh jaaye. Thoda sa pagalpann tum mai tha aur thoda sa pagalpann mujh mai. Tum chahti thi woh waqt jaldi kate aur main chahta tha yeh waqt yahin ruk jaaye.
Aawaaz mai itni mithaas thi tumhari ki mann karta tha ki bass sunte jaun. Kabhi-kabhi to jaan ke ansuna karta tha tumhe ki tumhari zubaan se sukoon bhari awaaz ko main baar-baar sunn paun. Bass gaane ki dhun bajne ki der hoti thi, naachna to tum jaanti shuru se hi thi. Duniya ki parwaah thodi kam hi thi tumhe, LUL tum mujhe bilkul mere jaisi lagti thi.
5'2 shayad aur patli si woh badi pyaari si thi. Gori si aur naazuk si woh sabse pare si thi. Woh aaj bhi aisi hi hogi mujhe pata hai yeh hi sach hai. Taareef mai uski aur kya hi kahun ? Woh LUL hai, Woh khoobsoorat hai.
-M. N².