
Hamaari zindagi ki kahaaniyan chaahe alag-alag ho gayi ho !
Hamaare raaste chaahe alag-alag ho gaye ho !!
Lekin tumse ek baat to seekhi hai, ki chaahe kisi ko kitna bhi koi chaahe. Uski value tabhi woh insaan samajh sakta hai, jab woh insaan ussey pyaar karta ho.
Tumse maine seekha hai ki yuh hi kisi ke peeche bhaagne se rishte saath nahi rehte. Unhe jaane dene se hi unki sacchaiyi samajh aati hai.
Tumse seekha hai maine ki haan sach bolne se utna farq nahi padhta, jitna kisi per doubts karne se padhta hai.
Tumse maine ek baat to seekhi hai ki waqt chaahe kitna bhi keemti kyun na ho. Uski kadar sirf wahi insaan samajh sakta hai, jisey sach mai tumhari zaroorat hogi. Kyunki maine to apna bahut keemti waqt bhi
Tum pe kharch kar diya, bina yeh soche ki tumhe to mere uss waqt ki koi keemat hi nahi pata thi.
Tumse ek baat to seekhi hai ki pyaar sirf pyaar karne se nahi hota. Usko samajhne se, dono tarfa nibhaane se hota hai. Rishte yuh hi nahi toot jaate, rishto ko rishto ki tarah banaane se hota hai.
Tumse......tumse maine ek baat to seekhi hai, tumse ek baat to seekhi hai.
-M. N².