
Zaroori nahi hai jo sabke chehre pe hassi laaye, woh khudh khush ho. Zaroori nahi hai jaisa tasveero mai dikhta hai, woh haqeekat mai bhi waisa hi hasmukh ho. Jo sabko motivate karta hai, kya pata raat bhar khudh hi roota ho. Sabke saamne ek dum chill, per andar se bilkul akela hota ho. Jo sabki pareshani ka hal nikaal ke de, per khudh ki hi pareshani se pareshan ho. Kya pata woh yeh sab bataana chahta ho, per kisi ko bata bhi nahi paa raha ho. Jo bahar se jitna shaant dikhta ho, kya pata andar se shorr machaata ho. Bheedh se ghira ho per kahin na kahin, khudh ko akela paata ho. Jisey dekh kar log kahein ki zindagi ho to aisi. Kya pata woh saari raat khudh se kehta ho ki meri yeh zindagi kyun hai aisi ? Jo bilkul khuli kitaab lage, per andar se kitne raaz bhare. Usey dekhte to sab ho, per sabki nazar se woh ho pare.
-M. N².