
Kya hua agar tumhari ab baat nahi hoti ? Kya hua agar tumhari baat nahi bani ? Kya hua agar ab woh saath nahi hai ? Har kahaani poori ho jaaye, zaroori to nahi. Bass jo lamhe the, unhe sambhaal ke rakhna hai. Roona nahi mushkurana hai, jab pichla kuch bhi yaad karna hai. Jab tak saath the, tab tak khush the na ? Ab bichadne ke baad bhi ek doosre ka bhala hi karna hai. Yahin tak ka safar likha tha, maan ke aage badhte hai na. Rishta bacha sakte hai to bacha lenge, per thodha apne liye bhi ladhte hai na. Per rishte ko keechenge nahi zabardasti. Chalo na qismat ki marzi ko hi apna faisla maan lete hai. Shukarguzaar raho ki kuch pal hi sahi, per saath mai bita paaye. Ab aage ka safar yaadon ke sahaare kaat lete hai. Kya hua agar ab woh rishta nahi bacha ? Kya hua agar ek waqt ka humsafar, aaj hai ajnabi ? Kya hua agar khwaab se pehle hi neend toot gayi ? Yahan har kahaani poori ho jaaye, aisa zaroori to nahi.
-M. N².