Dukh ki baat pata hai kya hai, ki tum kisi se kitna bhi pyaar kar lo, phir bhi uski nazar mai tum sahi nahi hote. Tum apni parwaah na kar ke uski jitni bhi parwaah kar lo, phir bhi uske dil mai tum kahin nahi hote. Tum rozz haarte ho bass usey jeetne ke liye. Koi inaam bhi nahi milta inn koshisho ke liye. Tumhari aadat ka unhe sab pata hota hai. Phir bhi taras jaoge unke thode se bhi waqt ke liye. Aur aisa bhi nahi hota ki tum anjaan ho uske liye. Unka waqt bhale khaali ho, per kabhi hoga nahi tumhare liye. Tum koshish karte rahoge khud ko behtar banaane ki, per pata nahi kyun tum kabhi sahi hoge hi nahi unke liye.
Ab pyaar karna apne bass mai hota to ussey kabhi karte hi nahi. Ab yeh to bass ho hi gaya, ab aage bhi kuch kar sakte nahi. Ab usey nahi padta farq to kya karein. Aage badhna to chahte hai per ab badh sakte hi nahi.

-M. N².