![](https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEi0uwmh9-8cxaG-DzQHdjX_2YsQFot4TjdWsr5IqJdb9y5JJtzmzFEEJ8II_4As0bMg1XPEy8TwTRmpw2FfYSFRI4wLcd-q78uLD-9ZgCnxj1nnR1IKpPViXNUuQ9HJS3fUJigLEUuVpNWYlf0dtSlTB_sslyVzoJui78vuWl_WoPkVbYjlsHMRZd985oJ3/s16000-rw/Tumse%20door%20mujhse%20nahi%20raha%20jaata%20%20MY%20WORDS%20ARE%20ONLY%20FOR%20YOU%20MY%20LUL.jpg)
Tumse door hu main, aur ab hamaare beech sab khatam ho gaya hai. Phir bhi kisi aur ke saath tumhe dekh kyun nahi paata main ? Mujhe to bura nahi lagna chahiye na yaar, jab tum kisi aur ke kareeb jao. Mujhe to bura nahi lagna chahiye na yaar, jab tum kisi aur ke saath mushkurao. Phir aaj bhi tumse aage kuch aur soch kyun nahi paata main ? Mere dimaagh ke kisi kone mai tum aaj bhi ho, jissey inkaar karta rehta hu hamesha main. Main nahi keh sakta ki yaar tumhari yaad aati hai, kyunki ab ho hi nahi sakta kuch bhi pehle jaisa, jissey tum meri baat ko itminaan se suno. Mujhe farq nahi padna chahiye na yaar, jab tumhari baatein kisi aur se ho. Mujhe to ab yeh bhi sochna nahi chahiye na, ki iss waqt mai tum kya kar rahi ho.
Per shayad tumse alag main kabhi ho hi nahi paaya. LUL tumhe abhi bhi basa ke rakha hai apne dil mai maine. Main akela hu per mera dil khaali nahi hai, tumhe aaj bhi saja ke rakha hai wahin pe maine. Tumhe yeh sab bataane ka haq nahi banta mera, kyunki tumne to sab khatam kar diya aur ab tumse kuch keh bhi nahi sakta main. LUL tumse door mujhse nahi raha jaata, per dekho na yaar majboori ki tumhare paas bhi nahi reh sakta main.
Tumhare pass bhi nahi reh sakta,
aur tumse door bhi nahi reh sakta !
Iska matlab to yeh hua na ki tumhare bina,
main iss jahan mai bhi nahi reh sakta !
-M. N².