
Mujhe pata hai ki tum kabhi khudh se nahi bataogi. Tumhe pasand hu main, hai na ? Phir bhi yeh baat mujhse chupaogi. Bass tum maan'ne ko tayiyaar nahi ho. Per meri aadat ho chuki hai tumhe, hai na ? Ab iss baat se chaahe tum kitna hi inkaar kar lo, per yaar mujhse mohabbat ho chuki hai tumhe, hai na ? Jiss din tumse baat nahi ho paati meri, to uss din udaas-udaas kyun rehti ho ? Ghuma phira ke naraazgi to jata dogi, per 'tumhe miss kar rahi thi main' yeh seedha kyun nahi keh deti ho ? LUL kisi aur ki baat jab main tumse karta hu, to bataana zara tumhe jalan kyun hoti hai ? Main kuch bhi agar khaas nahi hu tumhara, to yaar tumhari saari baatein bolo phir mujhse hi kyun hoti hai ? Mere bina tumhara dil bhi nahi lagta yaar, hai na ? to yeh maan'ne mai itni takleef kis baat ki hai mujhe miss karti ho tum. Mere message ka baith ke intezaar karti rehti ho, hai na ? Yaar tum saamne se bhi to text kar sakti ho, to karti kyun nahi ? Per tum chaahe kitna bhi chupaane ki koshish karo. Tumhara chehra sab bayaan kar hi deta hai. Yahi cheez to tumhe tum banaati hai yaar. LUL mujhe to tum mai sab kuch hi badhiya lagta hai.
-M. N².