Ladke bhi roote hai. Dil hota hai ladko ke pass bhi. Jisey tootne ke baad woh bhi sambhaalne ki koshish karte hai. Aanshu aur dard, zaroori nahi sirf ek ladki ke pass ho. Jo dil se laga lete hai na, woh ladke bhi roote hai. Bina fareb ke jo kisi se pyaar karte hai. Dil saaf hota hai jinka, jo galatiyan shayad hazaar karte hai.
Sab ladke ek jaise nahi hote. Kuch ladke sach mai bahut pyaar karte hai. To jab dard hota hai na, woh shayad kehte nahi kisi se. Sabke liye pyaar time pass nahi hota. Kuch log zindagi bhar sach mai saath rehte hai. Sabke liye to yeh mazaak nahi hota.
Haan...hann thodha na-samajh hote hai, jab pyaar ki baat aati hai. Jab unko ek aisa saath milta hai, jo woh dhoondh rahe hote hai. To woh nahi samjha paate khudh ko. Aur apne self-respect ke saath bhi woh khel rahe hote hai. Haan...nahi nazar aati self-respect bhi uss waqt, jab unka dil dukh raha hota hai. Jissey pyaar karte hai, jab woh jaa raha hota hai.
Emotions sabke pass hote hai. Bass waqt ke saath kisi ko kisi se pyaar ho jaata hai. Aur dusre insaan ko kuch time baad realise. Aur phir ek modh per jab dono ruk jaate hai na. Phir jab pyaar aur dokha milta hai na uss raaste per. Ek aage badh jaata hai aur ek wahin ruk jaata hai. Aur isme fark nahi padhta ki woh tootne wala dil kisi ladki ka tha ya kisi ladke ka. Kyunki pyaar ki tadap har uss dil ko hoti hai, jo kisi se sach mai pyaar karte hai. Aur woh log bass humdardi dikhate hai, tumhe jhootha support karne ke liye phir.
Trust me, unhe tumhare dard se, utna dard nahi hota hai. Haan jab dil toot'ta hai na ladko ka, to ladke bhi roote hai. Sab ek jaise nahi hote, kuch ladke bhi sach mai bahut pyaar karte hai.
-M. N².