Aa quid kar lu tujhe main,
Aa mujh mai bhar lu tujhe main !
Koi bhi pooche tera pata agar,
Aa apna pata de du usey main !!
Aa quid kar lu tujhe main !
Aa quid kar lu tujhe main!
Tere khawaabo ka ek shehar ho jaun,
Tu bahe main ek lehar ho jaun !
Tere isharon se dhoondhu main apne raaste,
Tu tareef kare iss tarah,
Ki main auron ke liye kehar ho jaun !!
Iss kadar,
Iss kadar sochta rehta hu har waqt tujhe main !
Aa quid kar lu tujhe main,
Aa mujh mai bhar lu tujhe main !!
Mujh mai bhar lu tujhe main !!
Koi safar ho kahin jiski manzil na ho !
Behte rahe saath saath koi,
Koi saahil na ho !!
Koi pooche teri kahaani mujhse,
Main hawa mai udha du !
Tera mera ishq ho to itna gehra per,
Per koi rung na ho !
Jiss tarah Meera Shyaam ki dewaani thi,
Iss tarah chahta hu tujhe main !
Aa quid kar lu tujhe main,
Aa mujh mai bhar lu tujhe main !!
Mujh mai bhar lu tujhe main !!
Pyaar ek safar hai,
Manzil nahi milti sabko !
Thehar jao mere aaj mai,
Kisne dekha hai kal ko !!
Main bhi chala jaunga ek din,
Kon rukta hai yahan !
Kab ka fana ho gaya hota,
Ek tere kinaare ne roka hua hai mujh ko !!
Koi aur,
Koi aur manzil nahi maangta,
Sirf tujhe hi maangta hu main !
Aa quid kar lu tujhe main,
Aa mujh mai bhar lu tujhe main !!
Mujh mai bhar lu tujhe main !!
Teri zulfon ke saaye mai mera andhera rahe,
Main sunta rahu woh jo tera dil kehta rahe !
Tere saath chal padhu kahin bhi,
Jahan jahan tere raaste mudhte rahe !!
Ab tak,
Ab tak ek khayaal ho tum,
Tumhari haqeeqat maangta hu main !
Aa quid kar lu tujhe main,
Aa mujh mai bhar lu tujhe main !!
Mujh mai bhar lu tujhe main !!
-M. N².