![](https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEjFK3FxdHZETO4jyz9pKUESvFrUNe0Dz_CU1fqTlzMmmOGGSpb9rKv-fw2l1ogh7dJRNrOm04R6_o7xD-zR2Qn0auRLyIlXvnGCRPtvdicaOvyUBimXnEtw_3Rcgy1WrUqVnqLL__mbmONvT4Q3VY4WvLyGwxrWGFLjKNzQRP3zODvrVG1s5CrysxV8ywec/s16000-rw/Tumse%20pyaar%20bhi%20hai%20aur%20nafrat%20bhi%20%20MY%20WORDS%20ARE%20ONLY%20FOR%20YOU%20MY%20LUL.jpg)
Samajh nahi aata ki kaise ek hi waqt pe tumse pyaar bhi hai aur nafrat bhi mujhe. Per jab yeh nafrat zyaada badhne lag jaati hai na tumse mujhe, to guzre lamhe yaad aa jaate hai phirse mujhe. Aur phir tumse, mujhe phirse pyaar ho jaata hai, aur phir main issi kash-ma-kash mai fasa reh jaata hu ki tumse pyaar hai ya nafrat mujhe.
LUL tumse baat karne ka mann bhi karta hai aur nahi bhi karta. Kayi shikayate tumhari tumse hi karna chahta hu aa kar tumhare saamne, per tumhare saamne aa kar mujhse tumse kuch kaha hi nahi jaata. Main sochta rehta hu ki yaar tumse aisa kya bolu main ki tumhe lage, tumhe yaad bhi karta hu main aur tum yaad bhi nahi ho mujhe. Hamara rishta kya hai yeh samajh to aaye, tum paas to ho mere per saath hi nahi ho. Tumhare sang rehna bhi hai aur tumhe aazaad karne ka bhi dil karta hai. Phir kabhi tum aisa feel karati ho mujhe ki main hu zaroori tumhare liye, aur kabhi aisa feel karati ho ki mujh mai tumhe kuch accha hi nahi lagta hai. Ek hi insaan se, ek hi waqt pe, pyaar aur nafrat hona mumkin hai kya ? LUL tumhe chodh bhi nahi sakta aur tumhe pakad bhi nahi sakta main, iss pareshani ka tumhare pass koi hal hai kya ?
-M. N².