![](https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEgbPqz-XMuG1EUEeV7pva751QSo88mUwJuUoMkooBYWXc9ozsNdFl_pR6qdVVgRdHhYjOL_bLF_0I3Xb7mc-3u-zd8vEPBTtOLpxDlbiVtmbOc7vUVbIrgw_wKLC6i8d9L_qXt1Nt_F7PLij2AT6KMsr3SNISxBAPNd1htDTgKH9sj3VEGz8g2lk0k4hmFg/s16000-rw/fotor-ai-20241119195930.jpg)
Kya hua ? Neend nahi aa rahi hai kya ?
Dekho raat bahut ho gayi hai, sab shaant hai. Abhi zyada kuch main keh bhi nahi sakta. Per suno.....kya soche jaa rahe ho tab se ? Ab tumhe soo jaana chahiye, kya tumhe nahi lagta ? Kitna pyaara mausam ho raha hai. Aankhein band kar ke dekho aur kuch der ke liye dimaagh ko bhi band kar hi do. Din mai kaam kar-kar ke thak gaye hounge yaar tum. Ab phone chalaana chodhoge ? khudh ko thodha to aaraam do. Apni inn khoobsurat aankhon ke aage, andhera chaane do. Aaj sapne bahut sunehre aayenge tumhe, khwaab mai roshni aane do. Mann mai kuch bhi bolna nahi hai, khudh se jo baatein kar rahe ho tum, woh guftgu saari rok do na. Jisey tumse matlab hi nahi, uske message ka intezaar chodh do na. Chaand bhi aasmaan mai chhup gaya hai. Tum bhi karwat badlo aur chhup jao razayi mai. Iss raat ne sab ko sula diya hai, ab tumhe bhi soona hai, to tum akele nahi ho iss ladaayi mai. Ab aankhein bhaari ho rahi hai kya ? Baatein tumhari soo rahi hai kya ? Gehri neend bula rahi hai tumhe. Ab sach mai neend aa rahi hai na tumhe ? Saari thakaan mit jaayegi. Har ghadhi behatreen ho jaayegi. Bass ek raat ki baat hai yaar, phir nayi subah aayegi.

-M. N².