![](https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEivPwGX-V4G_3M1LmwZhthEmGIBpFpy8Qqp8FU0KBHp6boirS3kuE8LWdU4Qhyphenhyphen17hC2Q1StNFzGAHkWfI0OHcfUKUdpyVI8sbQ_Ka3Xla83bUaNf0cA4DveG1Lf_hUXx0FfA5RHDnhJwr4oJQ6scSIuifMDBusjdQnVKBPZpuCMtVBecUnkEtwp_ydKXxs/s16000-rw/fotor-ai-202409150319.jpg)
Suno,
Pyaar mai na kabhi bhi kisi se pyaar mat maangna. Maangna uska yakeen tum, uska ehsaan mat maangna. Ussey uska waqt le lena chaahe, lekin kabhi bhi ussey waqt ki bheek mat maangna. Pyaar mai zaroori bahut hoti hai zaroorat, lekin kitni bhi zaroorat ho tumhe. Tum uske saamne kisi bhi cheez ke liye kabhi bheek mat maangna.
Kyunki pyaar mai mil jaata hai sab kuch, kuch bhi aadha nahi hota. Saath rehna ya na rehna hota hai bass. Iske alaawa koi waada nahi hota. Jisey pyaar hoga tumse, woh har mushkil mai saath khada milega. Aur jisey waqt ke saath badalna tha, tum usey chaahe kahin bhi dhoondh lo, woh tumhe nahi milega.
Issiliye pyaar mai kabhi kisi se pyaar mat maangna. Maangna uska yakeen tum, kabhi uska ehsaan mat maangna. Ussey uska waqt le lena chaahe, lekin kabhi bhi ussey uss waqt ki bheek mat maangna. Kyunki pyaar mai pyaar apne aap mil jaata hai. Aur jahan pyaar nahi hota na, wahan tum kisi ke saamne kitna bhi gid-gida lo, tab bhi woh shaqs tumhe utna pyaar nahi kar paayega.
-M. N².