
Ki haan darr lagta hai akele rehne mai, lekin jab se dokha khaya hai na, akela rehna hi accha lagta hai. Utna darr nahi lagta, jitna yeh khali dil rakhne se lagta hai. Kisi se lagaana bhi nahi chahiye yeh dil, ki sab bojh samajhne lagte hai. Kisi se jitni ummeedein karo na, phir woh log utna hi badalne lagte hai.
Ek baat seekhi hai iss waqt se, ki waqt se jyaada bhi agar kisi ko waqt de diya jaaye na, to uss waqt ki koi ehmiyat nahi rehti. Phir tum kisi ke liye chaahe kuch bhi kar lo. Agar ek baar dil se utar gaye na, phir wapas laut kar aana bada mushkil sa ho jata hai. Kyun aisa hota hai na, ki jisko sabse jyaada chahte hai, aksar woh hi hamein samajh nahi paate aur kuch time baad sab badal sa jaata hai. To phir zaroori nahi hai na, waqt se pehle dil lagaana. Zaroori nahi hai na, uss insaan ko chahna, jisey bass kuch waqt ke liye hi tumhara saath chahiye tha.
Ek baat seekhi hai iss zindagi se ki apna waqt na sabse jyaada bass apne liye rakho. Dusro ke liye jitna bhi waqt tum kharch karoge na, unke liye utna hi waqt, kam padhta jaayega. Yeh dil koi sasti cheez nahi hoti, iski uljhane bahut gehri hoti hai. To jab bhi pyaar karo kisi se, intezaar karna waqt ka aur uss feeling ka, jo tumhe uske kareeb jaane ke liye todh kar rakh degi. Pyaar karna khudh se, ussey bhi jyaada. Jo tumhara dil toote per, ussey bhi jyaada saath degi. Kyunki dil koi sasti cheez nahi hoti, iski uljhane bahut gehri hoti hai.
-M. N².