![](https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEiqRm4H0lceysWZCm4BfyZoM6PvnAlx7cZ2TXwvYM_njehWq_h5iwgGlplbLiCziQNVFJf-DQECOa8OwVK6DD713n3aj5cy6bmgrso7LiBZDBJfxq-n9LuXBw71OZMGLQVhkqfEVT5ZTGRc-sJZJn2o9xBM-BsfFG0DZxvG-MR9w6b65hLPZy7f4DmHV2E/s16000-rw/fotor-ai-2024091513853.jpg)
Kabhi suna hai tumne,
Kabhi padha hai tumne,
Maine kitna sab kuch likha hai tum pe !
Agar padha hai to,
Usme apna naam khojne ki koshish ki hogi tumne !
Aur agar suna hai to,
Meri awaaz mai mohabbat mehsoos ki hogi tumne !!
Yaar aao na kuch der baith'te hai saath mai,
kaho mujhse kuch batao na yaar !
Badhe pyaar se poocha karti thi na tum,
sune huye kaafi waqt bhi beet gaya,
Pukaaro na phir se aaj !!
Tumse kuch baat karni hai waqt hai tumhare pass !!
LUL itni buddhu bhi tum ho nahi,
ki samajh na pao ki yeh sab tum per likha hai,
Ab itna attitude bhi mat dikhao na,
ki batao hi na ki kaise likha hai !
Mere uper agar koi ek line bhi likh de na,
to main pagal ho jao khushi se ki mujhe koi chahta hai !
Tumhare uper to maine poori diary bhar di hai yaar,
Tumhe lagta to hoga na ki yeh pagal aise kyu karta hai ?
Accha naraaz to nahi ho na ?
ki aksar log acchaiyon ki tareef karte hai,
aur main tumhare pagalpann ke peeche padha rehta hu,
Yaar sach mai tum bahut acchi lagti ho,
Yeh bachpana apna yuh hi rehne do,
Khudh socho ki itna koi sochta hai dusre ko !
Ab yakeen nahi hai to aazma lo, tumse pyaar hai mujhko !!
Yaar todhi hi der ke liye per karo to mulakaat,
Yaar kuch baat karni hai waqt hai tumhare pass !!
Agar tum bologi nahi to mujhe samajh kaise aayega,
pata to do tumhare ghar mera gift kaise jaayega ?
Ek mint................, mujhe kuch yaad aa raha hai,
tum bhi to likhti thi na, diary ki pic bhej kar kaha tha tumne,
Ek dafa padhne ka mauka to do, bhejo kabhi
Mujhe pata hai mere liye nahi hoga,
per main jann'na chahta hu,
ki itna khush naseeb woh kon hoga ?
Per ek baat to pakki hai,
tumhe chah kar maine khudh ko paa liya hai !
Yaar demand karo na phir se,
ek gaane ki tumhe sunana chahta hu,
Maine akele baithe-baithe bahut gaa liya hai !!
Samjho na chand lamhe hi de do aaj,
Kuch baat karni hai waqt hai tumhare pass !!
Kya meri awaaz kaan tak jaati hai tumhare,
Ya dusre kaan se bahar aa jaati hai tumhare,
Baatein batana shuru karunga to bahut lambi ho jaayegi !
Chodh dunga sunana to adhoori reh jaayegi !
Yaar tumhe mere uper taras nahi aata kya ?
Ya aata hai ?
Aata hai to dhang se jawab do itna kon likhwata hai ?
Awaaz de dena agar main tumse door jaun,
per aana mat agar ek baar bhi tumhe bhool jaun,
Kabhi achanak yuh hi tumhari jubaan pe,
mera naam aaya hai ?
Kabhi baithe-baithe yuh hi,
mera khayaal tumhare zehen mai aaya hai ?
Nahi aaya hoga kaash !
Kuch baat karni hai waqt hai tumhare pass !!
-M. N².