![](https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEjAmKmtuprvYyd5N-NCnWfwfL8xKLt8vzBxO1h3M_XGMBrYHzUL0uEe4F_dFRab13HVBOQNI2uPLPUuXrLrftrdfg3X6w8Mb-43l1CWDMKGYqTlT7XXLvEvy_AP8MVCCXAr1ld45Ds4dwgyvnqedi-qKqSYv0kv5Nkx-_ORCk_HwutABn_Zqv9Wa3e23Pc/s16000-rw/fotor-ai-20240915115556.jpg)
Rishte bahut waqt lete hai mazboot hone ke liye. Bahut saari feelings deni padhti hai. Agar koi saath hai tumhare to acchi baat hai. Lekin agar koi rishta aisa hai ki tum usey rakhna chahte ho aur woh shaqs tumse utna hi door jaana chahta hai. To aise mai usko force mat karna. Force mat karna tumse, feelings jodh ke rakhne ke liye. Force mat karna tumhe apna waqt dene ke liye. Kuch rishte itne mazboot hote hai na ki kisi bhi wajah se woh toot'te nahi. Aur kuch log aise bhi milte hai hamein zindagi mai ki jinhe chaahe kitna bhi rok ke rakho, kitni bhi shiddat se unhe pyaar kar lo, unhe waqt do, lekin phir bhi woh toot jaate hai. To zaroori nahi hai, jo aaj tumhare saath hai, woh permanent hai. Aur zaroori nahi hai ki jo chala gaya tumhari life se, sirf ek wahi tha aur koi nahi aayega, aisa nahi hai.
To apna waqt, apne hisaab se kharch karo. Kyunki zindagi tumhari hai, kisi aur ki nahi.
-M. N².