![](https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEhpvmv37mWXu2N7KHb_ybHRfRBA-LuoTlKvdOD4wJ14Kx4i3SFnOzH6GpffxoIYMfXm-kTrfYU3Urf5-Y4Zw0PMxsgqsHGPNC0L8nJauqpDrTXmtq_HFFI75lddrTUR3t8R-LeffiyMuzjIqbgvzDuIR-K8-eg5BW0-gOgRyZvKANn3lNGbqdy25LUgEc4/s16000-rw/fotor-ai-20240914235930.jpg)
Aa milo na tum bhi kabhi iss kahmoshi mai,
Jahan tumhara shorr rozz hota hai !
Aa chalo na tum bhi kabhi unn raaston per,
Jahan aaj bhi yeh dil roota hai !!
Nikal kar dekho to sahi,
Apne sukoon ke kamre se !
Bechaini haaye haaye har jagah,
Jahan jahan zikra tumhara hota hai !!
Main ruka na jaane kab se hu,
Main ruka na jaane kis ke liye !
Main yahan na jaane kaise hu,
Main yahan na jaane kis ke liye !!
Aa milo na tum bhi kabhi iss shaqs se,
Jo razz tumhare kehta hai !
Aa chalo na tum bhi kabhi uske shehar,
Jo tumhari yaadon se chamakta rehta hai !!
Aa milo na tum bhi,
Chodh do yeh bahaane saare,
Chodh do yeh bahaane saare,
Main tumhe khoob jaan'ne laga hu !
Bekaar hai ab parde tumse,
Main ba-khoobi pehchaan'ne laga hu !!
Dua mai sukoon maanga to dard mila,
Dua mai sukoon maanga to dard mila,
Ab main dua mai bhi tumhe maangne laga hu !
Shayari likhte likhte lachaar ho gaye likhi jaati nahi,
Ab tumhe hi shaayri maan'ne laga hu !!
Aa milo na tum bhi kabhi uski kalam se,
Jo dard mai doobi rehti hai !
Aa chalo na tum bhi duniya mai uski,
Jahan baatein tumhari hoti hai !!
Aa milo na tum bhi !!
-M. N².