![](https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEjR6ACTeFImzIlJM70WUMCIkLSunCqaRPpkfBLxBHHg1lBal8dPAfz9ybV0u2PtzXv1St329Sh14npc_3_3rQzDwCgex6aaZu7jcUZncQtok2ynFFzfXrz234haan3nNomNTaAAVgqhtaxCNUSNYgEkR8uZAK5iU6tmOaxBJPOx4BSMNMiCUTlSFy3QZ9g/s16000-rw/fotor-ai-2024100511308.jpg)
Ek adhoori si baat ho tum,
Khwaab the per ab sirf khwaab ho tum !
Na milna hoga jissey
Na shikayat hum kar paayenge !
Tum itna door ho gaye ho ki ab,
Ab na kabhi tumse mil paayenge !!
Khwaab the per ab sirf khwaab ho tum !
Na milna hoga jissey
Na shikayat hum kar paayenge !
Tum itna door ho gaye ho ki ab,
Ab na kabhi tumse mil paayenge !!
Yeh zidd bahut ki iss dil ne,
Tumhare hissey aane ki !
Aur tumne utni hi koshishein ki,
Mujhse door jaane ki !!
Tumhare hissey aane ki !
Aur tumne utni hi koshishein ki,
Mujhse door jaane ki !!
Ab koi dua bhi kaam nahi aati,
Yeh khuda bhi tumhari tareefein karta hai !
Tumhare saath raha hamesha,
Yeh mere hissey hi saare dard bharta hai !!
Aur kyun na de yeh khuda saath tumhara,
Tum to kisi jannat se bhi khoobsurat ho !
Kaash meri bhi thodhi si banti uss malik se,
Maang leta tumhe dekhte rehne ki saza bhi,
Tum to saza mai bhi meri zaroorat ho !!
Lekin, kaash, kaash, kaash.....
Bass kaash reh jaate hai
Aur khwaab phir toot kar
Saamne aa jaate hai !
Aur phir na dua karne ka dil karta na,
Na khuda ka khayaal karne ka,
Bass ek sach to yeh hai,
Ki hum sach jaan jaate hai !!
Ek adhoori si baat ho tum
Khwaab the per ab sirf khwaab ho tum
-M. N².