![](https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEgVMvrVW2YGOHWLrBLV6n4jeldtJw-GV9d060vyIKpEFDDAbMM3Ws4pGrnLkDpmJIb5__ThTQ8DFZDVTCsD5aNLjHu-7owPcjsK0O1a5OX309COL5oYyUSemcVlzyRskxFrJxQge15G030LJmnEXY8qU2oupM8j1f_rMr6bPly9786UxpZNCHc1uIVz3D4/s16000-rw/fotor-ai-20241005162235.jpg)
Ab raaste kahan yaad rehte hai,
Teri hawaaon ki aur hi chalne laga hu !
Dheere dheere haan,
Ab main bhi badalne laga hu !!
Tu dikhayi nahi deta na,
Mujhse aage jo nikal gaya hai,
Lekin main bhi ab apne,
Aadhe raaste tey kar chuka hu !
Tu badal gaya hai na sahi hai yaar,
Lekin ab main bhi badal gaya hu !!
Utna ziddi to nahi hu main,
Ab raat ko time se soo jaata hu !
Teri yaadein gun-guna kar,
Main khudh hi ko kahaaniyan sunaata hu !!
Aadatein bhi badal di maine,
Aur aadatein bhi badal di maine,
Ab teri insta id per,
Bahut dino mai chakkar lagaata hu !!
Aur kabhi kabhi dekhta hu,
Tu bhi meri stories seen karti hai,
Lekin main bhi ab,
Motivation wale post share karne laga hu !
Tu badal gaya hai na sahi hai yaar,
Lekin ab main bhi badal gaya hu !!
Pehle yaad hai ?
Main tujhe emails tak karta tha,
Block hone ke baad har jagah !
Pata nahi kyun,
Itna pagal ho gaya tha main be-wajah !!
Aur jab se tune raaste badle hai na iss safar ke,
Main bhi tere zikra unn rassto per,
Ab chodhne laga hu !
Tu badal gaya hai na sahi hai yaar,
Ab main bhi badal gaya hu !!
Dil na samajh kitna tha yeh,
Teri baaton mai aa jaata tha !
Tu thehra khudh-garz yaar,
Har baar dokha de jaata tha !!
Thodhi thodhi kar ke jo,
Daraarein aa gayi thi isme,
Teri nafrat se ab,
Main inn sab daraaron ko bharne laga hu !
Tu badal gaya hai na sahi hai yaar,
Lekin ab main bhi badal gaya hu !!
Tu badal gaya hai na sahi hai yaar,
Lekin ab main bhi badal gaya hu !!
-M. N².