
Ab chale gaye ho to chale jao,
Meri yaadon mai mat aaya karo tum !
Mujhse accha mil gaya tumhe,
Ab ussi ki neendon mai soo jaaya karo tum !!
Phechaante bhi ho hamein,
Ya ek nayi duniya bana li hai !
Khair chodho,
Yeh batein befizool hoti hai meri,
Yaad hai yeh hi to kehte the tum !
Yeh hi to kehte the tum !!
Ab chale gaye ho to chale jao,
Meri yaadon mai,
Mat aaya karo tum !
Mat aaya karo tum !
Tumhare raaste bulaate hai mujhe,
Ek mehmaan jo ho gaya hu !
Jo aaye bass kabhi kabhi ghar per,
Ek samaan sa ho gaya hu !!
Kisne socha tha ki kabhi tumhari,
Yaadein sametni padhegi !
Sameta nahi jaata aaj kal,
Ek toota hua khilona jo ho gaya hu !
Khilona jo ho gaya hu !!
Aur yuh rozz rozz mujhse meri hassi,
Cheena mat karo tum !
Ab chale gaye ho to chale jao,
Meri yaadon mai mat aaya karo tum !!
Mat aaya karo tum !!
Koi rait si kahaani thi tum,
Jisko bahut roka per beh gayi !
Koi gazal puraani thi tum,
Jo be-matlabi baatein keh kar,
Matlab samjha gayi !!
Kabhi andheron se poochna,
Ki kahin dekha hai mujhe !
Kyunki inn andheron mai hi to,
Hamaari kahaani meri kahaani hoke reh gayi !!
Meri kahaani hoke reh gayi !!
Aur iss tarah ab har rozz mujhe,
Daraaya mat karo tum !
Ab chale gaye ho to chale jao,
Meri yaadon mai mat aaya karo tum !!
Mat aaya karo tum !!
Ab gin'na chodh diya maine bhi,
Saara hisaab cukta jo kar diya hai tumne !
Yeh khaali raatein tumse bhari hui de di mujhe,
Mashoor jo kar diya hai tumne !!
Main darta tha,
kabhi akela na reh jaun tumhare bina !
Khudh ko mujh mai,
Mujhse hi zyaada bhar kar wah...,
Ehsaan jo kar diya hai tumne !!
Ehsaan jo kar diya hai tumne !!
Suno,
Mujhe akela chodh do,
Ab aur ehsaan mat karo tum !
Ab chale gaye ho to chale jao,
Meri yaadon mai mat aaya karo tum !!
Mat aaya karo tum !!
-M. N².