
Suno,
Zyaada mat socho. Yeh dard bass kuch dino ka hai aur yeh zindagi kayi saalo ki, sab theek ho jaayega. Bass thodha sa aur waqt do. Waqt apni kahaaniyan suljhaane mai laga hai. Tum sahi ho tum sahi the, yeh bass tumhe aur sahi banaane mai laga hai. Hum sab ki zindagi mai na aise din aate hai. Jab hum sabse alag sabse akela feel karte hai. Jab apne sapno ko chodh kar hum pata nahi konse khayaalon mai jeene lagte hai. Kabhi-kabhi zindagi mai na kuch galat logo ka milna bhi bahut zaroori hota hai. Unse hamein woh sab seekhne ko milta hai, jo shayad hum seedhe bann kar kabhi seekh nahi paate.
To sahi hai na yaar, thodha sa dil toot gaya to kya ? To sahi hai na yaar, hum zindagi ko aur seekh gaye to kya ? Sahi hai na yeh zindagi aisi hai to kya ? Sahi hai na, tum abhi bhi saansein le rahe ho to kya ?
Kabhi-kabhi aisa hota hai, hamein kuch raatein jaag kar guzaarni padhti hai. Kabhi-kabhi woh din bhi zaroor aate hai zindagi mai, jab yeh raaste badhi mushkil se kaatne padhte hai. To kya hua ? Agar tumhe tumhari manzil tak jaane mai thodha waqt zyaada lag jaaye. To kya hua yaar ? Agar dil lagaate-lagaate kisi se, woh dil hi toot jaaye. Kyunki na zindagi mai toot'te sab hai. Aur toot kar tootne se seekhte sab hai. Yeh shayad koi tareeka hai hamein samjhane ka. Kabhi zindagi ko bahut bura, kabhi-kabhi bahut khoobsurat, yeh kehte sab hai.
Suno, Zindagi mai chaahe kuch bhi chooth jaaye, tum hossla rakhna. Chaahe phir se yeh dil toot jaaye, bass tum bharosha rakhna. Itne bhi saste mat ho jaana auro ke liye, kahin phir tumhare saath koi khel jaaye. Tum apna khayaal rakhna.
-M. N².