![](https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEiYXI_fZ_NnZ98ZOyJfgYxKjppTDjbRbWDoGacgNE-ALfEDtme7RVOeBjESbR4PX0UKZ698zx_j6Kiuj6EUMRynx2nKKEdnmF6cOElyROJMh0ELhjzOiMsCX6-M1PJbhf9KgIhcX1_AZyHgoHIuRnv6qlZskA-TWTnaCeXL-2wwjx7SbldQcNqscQEAkbo/s16000-rw/fotor-ai-20240915114936.jpg)
Main pareshaan hu. Mujhe meri pareshaani ki wajah bhi pata hai. Log ginwaate hai meri hi kamiyan mujhe, arey yaar woh kamiyan meri hi hai, to mujhe sab pata hai. Main jinn cheezon se jhoojh raha hu, ab mujhe woh hi cheezein bataoge kya ? Matlab mai doob raha hu pehle se, tum aur mujhe dubaoge kya ? Yaar mujhe agar samajh sakte ho to samjho, sujhaav nahi chahiye tumhare. Main apni hi zindagi ke sawaalon se khudh ladh raha hu, aur sawaal nahi chahiye tumhare. Meri pareshaani ka hal tumhare pass bhi hai nahi shayad, tabhi to taane de kar kaam chalaate ho. Samjhaane ki koshish to karte ho mujhe, per yaar tum mujhe samajh bilkul bhi nahi paate ho.
Main bekaar hu agar, to mujhe bekaar hi rehne do. Main kisi ke pyaar mai hu agar, to mujhe uske pyaar mai hi rehne do. Mere chakkar mai padh kar, tum khudh ko kharaab mat karo. Tumhe qismat se jo mila hai, tumhe zindagi mai jo mila hai, tum khush ho aur hamesha khush hi raho. Mera kya hai, main dhoondh lunga jawaab saare, jaise hamesha se ab tak dhoondhta aaya hu. Tum rakh kar apni nazar mujh pe, apna waqt barbaad mat karo.
Main pareshaan hu, mujhe meri pareshaani ki wajah bhi pata hai, to ab mujhe pareshaan hi rehne do. Kyunki mujhe inn pareshaniyon se hi ab sukoon milne laga hai. To meri pareshaniyan khatam kar ke, tum mera sukoon mat cheeno. Mujhe ab iss tarah hi sukoon se jeene do.
-M. N².