![](https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEi1G8F0NFTXYTXEYuS8stTAK0dG8WFBuHMZvEkGp_atkJuGe41d5hkFEdu7aiHQPXZmmnqv8FgesRzpiNNWu2NubC4-MNC40l-HAxBRxe5lK4RuwnVOCkzrrLS6YopHoL_vSspx1KnJHGFGJ9BziK-0nbjxeNq0bYEYku_fsHv95GTVKjZlvROPwjCOBm2D/s16000-rw/Woh%20shaqs%20jo%20dost%20se%20badh%20kar%20hai%20%20I%20WRITE%20MY%20FEELINGS%20EVERYDAY.jpg)
Woh shaqs jo hamehsa tayyar rehta hai tumhari baat sun'ne ko. Har dum jo dil khula rakhta hai tumhari bakwaas jhelne ko. Tum bhi apni baatein jisey sabse pehle batate ho. Khudh to jaagte hi hoge raat ko usey bhi saath mai jagaate ho. Tumhari dusro se ladhai ho aur phir tumhara shorr woh chup-chap baith kar sunta hai. Woh zyada bolta nahi hai kisi se, per tumse baat karna usey behad accha lagta hai. Jo tumhara gussa bhi samajhta hai aur takleef ko bhi. Jo tumhare nakhro se aaj tak kabhi thaka hi nahi. Tumhare mann pasand ke gaano se lekar khaane tak usey har pasand pata hai tumhari. Jo bass kuch bhi kar ke tumhe hasaane ki, hamesha rakhta hai koshishein jaari. Woh shaqs jo tumhe bhi pata hai ek dost se badh kar hai woh. To tumhe nahi lagta kya, usey ek mauka dena chahiye. Ho sakta hai wahi tumhare liye sahi bhi hai. Ussey behtar tumhe koi aur samajh sakta hai kya ? Khudh se poochna kabhi, ussey accha tumhe koi aur mil sakta hai kya ?
-M. N².