![](https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEiD_f0iiop3toDD3ULmovfUoLXVuvDV-_FXoH7xxky10IMS8Oj0ZcNmpSgs1FFb95o9oPzYESsKlgSH1qYBPXcJIRepVTsECBimcpneshivkby3KRpojGDBP3se-G8KMUkerfWqE5oCWORWTXNZ23NvnWl21ia75Jvm40YFTKpBuCNbiprcEeCLoHFMgUw/s16000-rw/fotor-ai-20241005163112.jpg)
Move on karna kisi ko bhoolna nahi hota. Agar tum kisi ko bhoolne ki koshish kar rahe ho, aur khudh se shikhayatein karte ho rozz, ki usey bhoolun kaise ? To shayad tum galat ho.
Maine aaj bhi sambhaal kar rakha hai uss shaqs ko, jo mil gaya tha ek modh per. Chota sa safar tha, hazaaron kahaaniyan thi. Lekin mujhe pata chalta gaya, waqt jab nikalta gaya, ki shayad.....ki shayad saari kahaaniyan nahi keh paunga usko. Uske pass itna time hi nahi hai. Uski kahaani mere saath itni badi nahi hai. Main to ek raasta tha uska, uski manzil to aur kahin hai. Main samajh gaya tha iss safar ko.
Itna asaan nahi hota kisi ko bhula dena. Woh yaadein kahin nahi jaati, jo ek baar bann jaati hai. Haan agar ussey khoobsurat kuch hua, to dhundhli zaroor ho jaati hai. Phir dil tumhara itna pareshaan nahi rehta. Shikayatein woh kam karta hai phir, baar-baar nahi kehta. Phir dheere-dheere shayad woh samajhne lagta hai, ki yeh raaste bass yahin tak the, manzilein abhi aur aayengi. Ek mausam chootha hai to kya hua ? Aisi barsaatein aur aayengi.
Ab bass kabhi-kabhi jab yad aati hai na uski, to mushkura leta hu. Main bhoolne ki koshish bilkul nahi karta. Na khudh ko zara bhi samjhaata hu. Yeh aankhein samajh-daar ho chuki hai, kuch time baad apne aap mushkurane lagti hai. Aanshu beh jaate hai bahar inke, phir mojj mai gun-gunaane lagti hai.
Shayad yeh hi zindagi hai. Aap kisi ko bhula nahi sakte, jaise aap kisi ko bula nahi sakte. Jab tak kuch aur acchi yaadein nahi bann jaati na, puraani yaadein kahin nahi jaane waali. Move on ka matlab ab bhi badal do dost, kyunki yeh kahaani tumhari nahi aane waali. Uske saath jitna bhi ho jaisa bhi ho, mushkuraana seekh lo. Kyunki shayad yeh hi zindagi hai, kyunki shayad yeh hi move on hai. Matlab uske saath khush rehna, shayad yeh hi move on hai. Agar woh kisi aur ke saath hai, to koi tumhare liye bhi akela hoga. Jo tumhari saari kahaaniyan itminaan se sunega. Jiski zindagi ke status per tumhara naam likha hoga. To intezaar karo, acchi yaadein bann jaayengi. Lekin iska matlab yeh nahi ki puraani yaadon se pareshaan raho. Fikra mat karo woh bhi dhundhli ho jaayengi. Waqt do, mushkurao, jaane do aur aage badh jao. Shayad yeh hi zinagi hai. Shayad yeh hi move hai.
-M. N².