
Kehti hai baatein bahut,
Yeh jo khamosiyan baaki hai !
Tumse milne ko tadapti hai,
Yeh jo raatein baaki hai !!
Ki ab sukoon mil jaaye bass iltija hai,
Kehne ko bass kuch saansein baaki hai !
Kuch rakhi hui hai kuch keh di maine,
Ki be-fizool si kuch baatein baaki hai !!
Pagal pagal kehta rehta hu,
Ab bass haqeeqat hona baaki hai !
Ki kuch tumse reh na jaaye,
Mera woh sab hona baaki hai !!
Dekh lo sab jodh lo main yahin hu abhi,
Kahin tumhari kuch khwaashein baaki hai !
Ki rehta nahi ab yeh shaqs pehle jaise,
Tumahre kuch adhoore Nisha baaki hai !!
Kehte kehte keh diya sab kuch,
Phir bhi lagta hai,
Ki abhi bahut kuch kehna baaki hai !
Kitne din guzaar diye iss bekhayaali mai tumhari,
Kitne din aur abhi guzaarna baaki hai !!
Yuh itraata nahi hu main pass rakh kar tumhe,
Bass kuch khwaashein hai,
Jinka poora hona baaki hai !
Aur chal diya main uss raaste se ab,
Tumse ab dooriyan hona baaki hai !!
Mil jaayega koi modh mujhe bhi kabhi,
Ki kisi ka wahan tak le jaana baaki hai !
Hain hazaaron chehre taakte magar,
Kisi se nazrein mil jaana baaki hai !!
Tumse galatiyan hui to hui,
Ab mera sawar jaana baaki hai !
Kehti hai baatein bahut,
Yeh jo khamosiyan baaki hai !!
Yeh jo khamosiyan baaki hai !!
-M. N².