
Kabhi koi udhta-udhta khayaal, tumhe meri taraf le jaata hai ?
Kabhi tumhe tumhare sapne mai, mera chehra nazar aata hai ?
LUL kya tum bhi ruk jaati ho ek pal ke liye,
meri tasveer agar kabhi dekhti ho ?
Kya tumhara bhi mann karta hai baat karne ka,
ya meri tarah hi darti ho ?
Kya uska jawaab mila tumhe,
ki mujhse naata kyun todha tha ?
Ab dard tumhe bhi hota hai na ?
jo kabhi mera dard tumne nahi samjha tha.
Puraani baatein dohra ke kabhi,
kya aankhein tumhari bharti hai ?
Mere dil mai tum maujood aaj bhi ho,
kya meri jagah tum mai basti hai ?
Main thak gaya hu tumhe yaad kar-kar ke.
Jo yaad nahi tha woh bhi yaad aa gaya.
Tumse nafrat mujhe ab tak ho jaani chahiye thi,
per kya karu phir se pyaar aa gaya.
Tumhe yaad kar ke tum pe phir se pyaar aa gaya.
-M. N².