
Ek baar tumhare saath baith ke na chai peeni hai. Uss chai ke dauraan tumhari hi pasand ki tum jo kaho woh baat karni hai.
Saath baith ke tumhare saath kaash aisa ho ki kabhi koi movie dekh saku. Phir kisi scene pe main funny comment karu aur tumhare hassne ka ek chota sa hi kaaran bann saku. Filhaal abhi car to nahi hai mere paas, to bike se hi kaam chalaana padega. Kaash uss din tumhe koi cab na mile aur tum bolo mujhse ki ab to tumhe hi mujhe ghar chodh ke aana padega.
Main nahi chahta ki mere birthday pe tum mujhe sabse pehle wish karo. Bass wish kar do mere liye wahi special ho jayega. Mujhe nahi chahiye ki tum mujhse kabhi mera haal pucho, bass apni suna diya karo mera din bann jayega.
Aur mujhe pata hai yeh baatein main tum tak kabhi zaahir nahi kar paunga. Per aise ghuma phira ke bolne ki koshish to kar hi sakta hu. Aur yeh padh kar tumhe bhi pata lag hi jayega ki yeh tumhare liye hi hai. Aur idhar tak tumne padh hi liya hai to bolo, ab tumse kab mil sakta hu ?
-M. N².