![](https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEibKN9X6XM7Q77frBNUb8kNukdWvr0JzDiS1ODvHvOjy2n9BeGA4l2a8vqR1yemivBAH5Q_Na1Co-lrRF-JmIQmFuNrZnEcPRktfh7E_KO3DwheO1dD4xe__dWftf0du6cx2Iap1VfV24X9e8i6GNmkINw_GsNwQhCh9-6HOsW824Eo_zSjFuTS5ryZSP4/s16000-rw/fotor-ai-20241005155948.jpg)
Poora-poora din ek call aur message tak na karna. Ek baar bhi tumhare labon se mera naam na sun'na. Haan main jaanta hu tum busy ho per tumhara mujhe pyaar se pareshaan na karna. Suno ! Accha nahi lagta, pata nahi kyun bass accha nahi lagta.
Main apna haq jataun tum per aur tum gusse mai reply do. Main kahun suno jaana aur tum kaho tum to bass chupp hi raho. Haan main jaanta hu tum gusse mai aise hi react karti ho, per suno na ! Accha nahi lagta. Pata nahi kyun bass accha nahi lagta.
Main tumhe pareshaan karta hu tumhari fikra jo rehti hai. Tum palat kar gussa bhi karo chaahe, mere liye sab sahi hai. Main sochta hu palat kar maaf kar hi doge, lekin jab tum gusse mai kuch zyaada bol jaate ho na to suno na ! Accha nahi lagta. Pata nahi kyun bass accha nahi lagta.
Haan tumhara rooth jaana pasand hai, lekin baat na karna mere manaate rehne se bhi tum per koi farq na padhna. Main jaanta hu tumhe chocolates bahut pasand hai per tab bhi tumhara laalchi na ban'na. Suno ! Accha nahi lagta, pata nahi kyun bass accha nahi lagta.
Main tum per kuch likhta hu aur tum ignore kar dete ho. Tumhari haqeeqat ko apne lafz bana deta hu per tum tareef hi nahi karte ho. Haan main jaanta hu tumhe pyaar dikhana nahi aata. Per jaana jo tum iss tarah se ignore karte ho na, suno ! Accha nahi lagta. Pata nahi kyun bass accha nahi lagta........accha nahi lagta.

-M. N².