
Ki jo ab tum nahi ho yahan,
Yahan phir main bhi nahi hu !
Bechainiyan kuch iss kadar rehti hai mere andar,
Ki lagta hai jaise main ab door khudh se hi hu !!
Tum ho subha mai,
Tum hi shaam ko yaad aate ho !
Main chala jaun kahin bhi,
Tum wahin laut aate ho !!
Naa jaane diya mujhe,
Na sambhalne diya !
Tumhari yaadon ne,
Mujhe itna dard diya !!
Ki jo baaki hai na ab,
Woh itna khoobsurat nahi hai,
Jitna tum kehte the !
Kyunki main akela nahi reh paunga,
Tumhare bina,
Yeh to sirf tum sochte the !!
Kuch baatein,
Kuch baatein bahut yaad aati hai,
Kabhi kuch yaadein bahut tadpaati hai !
Ek pal bhi nahi hota ab,
Jab main sukoon se rehta hu !
Baith'ta hu kabhi yahan kabhi wahan,
Jahan bhi chala jaata hu !!
Ki jo ab tum nahi ho na yahan,
Yahan phir main bhi nahi hu !
Jaise rehta hai andhera raat bhar,
Bass main bhi uss andhere jaisa hi hu !!
Ki ab jo tum nahi ho na yahan,
Yahan phir main bhi nahi hu !
-M. N².