![](https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEilw8iFOBcAJcoycesiMG4wlXtK2D33urp5y4EcG-bER_lbGekThe9fOvMi2ji_77J3liNmISbiRft4ih1Eqxw8Ylx9FtCoy7oOuuf2xWlnM86xJ1tFXJUagFWzl6BgYUq0IqFJhkAH9cvlGZ13XxZBnNAoxXwXhAddhUlGsF08i3FyArbtaIb0fHZaguc/s16000-rw/fotor-ai-20240916172046.jpg)
Aaj kal badli-badli si lag rahi ho tum. hamesha kahin khoyi-khoyi si rehti ho. Tum pass hokar bhi door ho mujhse. Kyun ? Bataogi mujhe, tum kya sochti rehti ho ? Mujhse baat karne ka mann nahi karta tumhara, hai na ? Aisa lagta hai mujhe. Tum hass rahi ho per khush dikh nahi rahi ho mere saath. Batao na, kya hua hai tumhe ?
Mera mann karta hai tumse baatu apni baatein. Per tum 'kal baat karte hai' keh ke, hamesha taal deti ho. Pehle jaisa kuch nahi lag raha mujhe hamaare beech. Tum asal mai door ho mujhse, bass kehne ko pass rehti ho. Maana tumhare pass kaam bahut hai aur waqt kam padh raha hai. Per pehle bhi tumne sambhaala hai sab, to ab yeh bahaana tumhara kaam kar nahi raha hai. Tum chidhi-chidhi si rehti ho, aur maine gaur kiya hai sirf mujhse. Aur maine tumhe kabhi bataaya nahi per mujhe dukh hota hai inn sab se.
Mujhe phir se baat karni hai. Mujhe phir se pakadna hai haath tumhara. Mujhe tumhari aankhon mai doob ke, phir se dekhna hai har nazaara. Per kya karu ? Kuch bhi pehle jaisa nahi, tum tumhare jaisi nahi. Na bataati ho kuch, na poochti ho, na nazrein mila rahi ho. Tum dheere se aayi thi zindagi mai meri, ab tezzi se kyun jaa rahi ho ? Gussa ho ? naraaz ho ? Roothi ho ? Kya ho tum ? Nahi rakhna kuch, to bol do saaf, zabardasti sab yeh kyun nibha rahi ho ? Yaar mujhe puraani wali tum yaad aa rahi ho. Bahut zyaada yaad aa rahi ho.
-M. N².