![](https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEhzRY6X90PGhqrFZnJN5077nMzbhG5EUYCLt-6mvrylsxS7yYDLUdAJwjs0CEObpDGRGLlhDF1xDZMlDZm3mg3QPD0mMa6zfyoPudAdbOn2VhjZdqzmhH72IixO6VXtTO8cIp7Mw2rjbh0tk0kB28udhWHcEhT6EdwmN5aQF_jJRuR8QKoItJOywG-p0D0/s16000-rw/fotor-ai-20241005153416.jpg)
Dil laga nahi kabhi kisi bahaane se,
Na sukoon mila kisi ke manaane se !
Tum wajah ho har dard ki ab,
Jisey main kam bhi nahi kar sakta,
Mere chahne se !!
Mujhe waqt mila kuch aisa mila,
Jaise kuch mila na ho !
Yeh dil toota bhi iss tarah,
Jaise iski koi wajah na ho !!
Tumhe dhoondhta dhoondhta,
Main itna kho gaya hu na !
Ki khudh bhatak chuka hu ab,
Jaise mera koi pata na ho !!
Tu waqt raha tu yaadein raha,
Bass tujhe hi chodh ke !
Tera har ek waada raha !
Tujhe jaana kahan hai,
Tu bass jaata raha !
Main peeche raha,
Tu mujhse aage raha !!
Hai kahan tu ab kin raaston mai,
Kyun maine tujhe dhoondha jahan !
Tu mujhe pagal banaata raha !
Na jaane konse faaslein hai,
Jo tere kareeb hai !
Na jaane konsi baatein hai,
Jo mere kareeb hai !!
Jinhe tu sunn nahi sakta,
Aur jinn faaslon ko !
Main kam nahi kar sakta !
Tabhi to main aisa hu aaj bhi,
Tere jaane ke baad bhi !
Ki yeh dil laga nahi kisi bahaane se,
Na sukoon mila kisi ke manaane se !
Tera saath chootha kuch aisa chootha,
Ki hum bhi alag ho gaye iss zamaane se !!
Ki yeh dil laga nahi kisi bahaane se,
Na sukoon mila kisi ke manaane se !
Tera saath chootha kuch aisa chootha jaana,
Ki hum bhi alag ho gaye iss zamaane se !!
-M. N².