![](https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEi2B-T_aqnswJ9-6es3erMbTRaR2zrw5UJA-4QEAoIRrADXnO0Qko9_nFm8ArFsGM7PGnTBa131vY6-v_jTj8pykAuua4NvMrCj0PUaq4nGjTOEr841rKbSdmt6CcSDemOQoSUIGILRmCwt3NPYncjsoDC2fEzjJpZONPQekDdpPvlRS1otKpbDS4AZlM4/s16000-rw/fotor-ai-2024100515202.jpg)
Mujhe uske alaawa aur kisi se baat karne ka mann nahi karta. Mujhe uske alaawa kisi ko dekhne ka bhi dil nahi karta. Woh nahi hoti hai jiss jagah, to uss jagah per mera dil nahi lagta. Woh ab door hai mujhse, per main kaise-na-kaise kar ke ussey baat karne ke tareeke nikaal hi leta hu. Baat nahi bhi hoti ab ussey, to koi baat nahi, per main usey call laga kar, saamne se kuch na bol kar uski awaaz sunn hi leta hu. Kisi aur ke liye yaar main kabhi itni mehnat nahi karta.
Woh himmat hai meri, taaqat hai. Sukoon hai woh mera, woh meri mohabbat hai. Mere saath agar kuch bhi hota hai na, to sabse pehle usey bataane ka mann karta hai. Uske saath rehna, ussey baat karna, uske saath har jagah khudh ko imagine karna, sab kuch accha lagta hai mujhe.
" Woh hamesha poochti thi mujhse, main tumhe faaltu baat bata kar, paka to nahi rahi na ? Shayad woh nahi jaanti ki uski bak-bak sun'na kitna accha lagta hai mujhe. Woh saath thi mere to main mann se khush rehne laga tha. To apne kaam bhi main mann se karne laga tha. "
Ab woh saath nahi hai, per mujhe ab bhi rozz usey dekhne ki iccha hoti hai, rozz ussey baat karne ka mann karta hai. Log kehte hai, ki waqt ke saath-saath pyaar ghatne lagta hai. Per meri mohabbat ka kya ? meri mohabbat to badh hi rahi hai.
Mujhe usko udaas nahi dekha jaata. Main uski hassi ki wajah ban'na chahta hu. Woh waise hi pareshaan rehti hai apni zindagi ko lekar. Main apni taraf se sirf usey, sukoon dena chahta hu. Mujhe uske saath khaali baithna bhi pasand hai. Hum baat karte rahe raat bhar aur phir woh soo jaaye wahin per bina call cut kiye, to main apni taraf se call ko cut bhi nahi kar sakta, iss kadar juda rehna chahta hu main ussey. Uski maujoodgi zaroori ho gayi hai mere liye har jagah. Har baar ek naya ehsaas aata hai mujhe uske sang. Main ussey bhale hi poora din baat kar lu, lekin phir bhi main pagal rehta hu ussey phir se baat karne ke liye.
Mujhe ek hi shaqs se rozz saccha pyaar hota hai. Aur shayad haan, yahi saccha pyaar hota hai.
-M. N².