![](https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEiSQPwFXDddT0suuz-hujb67cVdmXSmERBX8ioyNUCsRlsANuO_IZdRP96lGvuzUyPT_74UPgzrwQXyhe9SC3wuS0Z0Y_4z8kr8Qnwqn_QWZK3vFTMM3u5u8Xc_Mv1Gq9pqMbIxmgewXub-IcdxwjkYQ4U10zURQX99kajuaotlxz58gmzt0rvRAe6KlHlw/s16000-rw/Yeh%20waqt%20bhi%20ajeeb%20hota%20hai%20%2012%20AM%20THOUGHTS.jpg)
Kabhi-kabhi aisa mehsoos hota hai na ki yaar main kitna akela hu. Ki bass ek do log hi hai mere paas, jinse main baat kar sakta hu. Aur jab woh do log bhi available nahi hote, tab to mere paas koi bhi nahi hota mujhe sun'ne ke liye. Jhooth nahi bolunga intezaar rehta hai, unke message ka kyunki bechaini bhi to rehti hai, apni baat unse karne ke liye.
Yeh raat ka waqt bhi ajeeb hota hai na, nahi ? Ki jo sochna bhi nahi chahiye tab woh bhi sochne lag jaate hai. Hamesha nahi per kabhi-kabhi bahut ajeeb sa mehsoos nahi hota ? Ki na to kisi baat pe khush hote hai aur na hi udaas ho paate hai. Din mai lagta hai ki yaar kitni choti si baat pe pareshan tha main. Raat ko wahi baat itni gehri pata nahi kahan se ho jaati hai. Jab bhi sochta hu na aaj jaldi soo jaunga aur kuch nahi sochunga. Tabhi pata nahi yeh neend bhi achanak kahan gayab ho jaati hai?
-M. N².