![](https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEgHYlgrpTxlx0BhB1I3Dx8iWDBkqHtxJ49G50aBojuYCAxo7Biw2-y17_Dm_hCE7ulemPvYprcrIz1ArPAEvhfvSbA2xEMqIR0B1K5RiJUpNKlxO0vxsSFndc7BVQI9CW1TsABgefsQgn01rHLUkCkizSZZRp8EI2CGsZvsqvrkO7U6sc574i-vbM4HGEHb/s16000-rw/Relationship%20perfect%20nahi%20hota%20usko%20bana%20kar%20rakhna%20padhta%20hai%20%20I%20WRITE%20WHAT%20YOU%20FEEL.jpg)
Aisa nahi hai ki perfect relationship mai problems nahi hoti. Ek sahi rishte mai bhi problems hoti hai. Lekin farq itna hai ki woh zyaada der ke liye nahi rehti, sab solve ho jaati hai. Kyunki jitni zaroorat hamein uski hoti hai na, utni hi zaroorat usko bhi hamaari mehsoos hoti hai. Kabhi-kabhi ladaiyan, naraazgi bhi honi chahiye yeh mehsoos karne ke liye ki hamein uske bina kaisa feel hota hai. Agar sab cheezein sahi rahengi to tum expect kya karoge ? Agar saare promises poore woh kar bhi dega to phir tum ussey wish kya karoge ? To zaroori nahi hota kisi relationship ki perfect hona. Yeh choti-choti cheezein na ek rishte ko aur mazboot banaati hai.
Agar koi sach mai pyaar karta hai na to usey inn choti-choti cheezon ko sambhaalna acche se aata hoga. Jo koshish karta hoga uss rishte ko jode rakhne ke liye. To kabhi-kabhi agar doubts ho na relationship mai to koi baat nahi bass tum solve kar lena. Agar shak ho kisi pe kisi baat ke liye to tum uss pe vishvaas kar ke woh clear kar lena.
Relationship perfect nahi hota usko bana kar rakhna padhta hai. Aur zaroori nahi hai perfection ki pyaar mai, kyunki pyaar ek aisa dariya hai na jisme jitna doobte jaoge tum utna mehsoos karte jaoge. Aur agar tumhe tairna aa jaaye tumhe phir woh pyaar mehsoos hi nahi hoga tum breakup kar loge. Kisi ko pyaar karo to uske saamne ek dariya hona chahiye tum mai sawaal hone chahiye mystries honi chahiye bahut saara pyaar hona chahiye jissey saamne wale ko kabhi lage hi na ki usne tumhe acche se samajh liya.
To problems ek acche rishte mai bhi hoti hai !
Lekin woh rehti nahi woh chali jaati hai !!
-M. N².