![](https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEj61wnc3Ev8OmNuGEJzcAW8Cw-q1MFxXiNtaroEy5tsBEO5VxZKuooMEyKOh2U9YcJY7k1akQMqpYR9UOihj9pv99R7a9exrpyX7LIirgyDcIxJK09kgJY5nT2m4yO8qYB3BW8XmDaqdRKKt_y6wue-fgMJG-6SAhWd4l4xyDObIXZvolGkM_DNyQEydqvO/s16000-rw/Rejection%20ko%20handle%20karna%20aana%20chahiye.jpg)
Chalo maana ki pyaar hone per apna bas nahi hota, woh to bass ho jaata hai. Lekin pyaar mai mohabbat honi chahiye zidd nahi. Yeh sabko samajh kyun nahi aata hai.
Unke dil mai zabardasti ki jagah banaane ki koshish karna, jabki woh tumhe naa bol chuke hai. Ab jisey tum pasand karo, usey tum bhi pasand aa hi jaoge, aise koi niyam thodhi bann rakhe hai. Naa ka matlab naa hi hota hai, to rejection ko accept karna seekho. Koi dusra tumhara dil todh hi nahi sakta. Apni hi ummeedo se tum khud ka dil todhte ho. Usne mana kar diya tumhe. Woh inkaar tumhare ego pe lag jaata hai. Itni choti si baat ki usey pasand nahi ho tum. Yeh seedhi bhaasha mai tumhe samajh kyun nahi aata hai. Tumhari marzi ke mutaabik sab nahi ho sakta, to rejection ko handle karna aana chahiye. Tum bheekh maang ke ya zabardasti pyaar paida nahi kar sakte. Bhalaayi iss mai hai ki sab bhula ke aage badh jaana chahiye.
-M. N².