
Koi yaad aata hai to usey bataate kaise hai ? Bina kuch kahe woh jazbaat baaton mai dikhaate kaise hai ? LUL agar main kahu tumse ki tumhe miss kar raha tha main, to ajeeb lagega kya ? Ya koi meme bhej du aur bol du isey dekh kar tumhari yaad aayi, to theek rahega kya ? Mujhe baaton ko express karna nahi aata, lagta hai ki main kuch kahunga to woh zyaada cheesy na ho jaaye. LUL ab bahut dino se hamaari baat nahi hui hai na to tumhari yaad aane lagi hai. Per shuruaat karne se issiliye bhi darr lagta hai ki meri pyaari si baaton pe tumhara, Haan-Hmm jaisa reply na aaye.
Pehle hum ek doosre ko apni kahaaniyan sunaaya karte the. Aaj kal bass ek doosre ki kahaaniyo ko yaad kar lete hai. Yaar mera to mann karta hai ki tumse pehle ki tarah baat karu. Per ek sach yeh bhi hai ki communication gap aa gaya hai, aur mujhe nahi pata ki yeh gap todte kaise hai. To tumhe sunaayi de na meri baat agar, to haan tumhari yaad aati hai. LUL tumhari bahut yaad aati hai.
-M. N².