
LUL suno,
Bahut dino se tumhe yeh kehne ka mann kar raha tha ki yaar tum jaisi pehle the na, waise ab nazar nahi aa rahi ho. Ab to sochna padta hai yaar tumse baat karne se pehle. Woh jo pehle waali tum thi na, mujhe woh tum yaad aa rahi ho. Busy hum tab bhi the yaar aur ab bhi hai. Par ab farq shayad yeh aa gaya ki tumhari priorities badal gayi hai. Ab to aisa lagta hai jaise main kisi aur hi insaan se baat kar raha hu, tum to ho hi nahi. Tumhari baat mai tumhari waali baat nazar nahi aati, yaar tum to aisi nahi thi.
LUL ab tumse bhi kuch bolne se pehle sochna padega kya. Tum to woh thi na jissey main kuch bhi pooch sakta tha aur kuch bhi be-fikar sa hoke bata diya karta tha. Ab to tumhara jawaab bhi ek formality sa lagta hai. Ek din main tumse iss tarah ki baatein aise bol raha hunga, yeh kabhi maine socha bhi nahi tha.
LUL suno, tum zara pehle ki tarah pesh aa sakti ho kya ? Tum zara khudh ko, pehli wali tum bana sakti ho kya ?
-M. N².