Kisi ki yaad aa rahi hai ? Agar bahut zyaada aa rahi hai na ? To roo lena aur jaane dena. Kyunki chaahe kitna bhi rokne ki koshish kar lena ya kisi ko kitna bhi samjha lena, hoga wahi jo sahi hai. Agar woh nahi aaya laut ke to woh hi hai. Isme koi kuch nahi kar sakta. Tum bhi nahi, khudh woh bhi nahi. Kyunki pyaar mai kisi ki 'Haan' ya 'Naa' nahi hoti, bass uska saath rehna aur na rehna hota hai. Aur jab woh faisla kar leta hai na jaane ka, phir usko badal paana itna aasaan nahi hota. Kyunki kisi se pyaar kar ke, usey phir chodh dena bhi itna aasaan nahi hota. Aur jab inn faislon tak baat aa jaati hai na, to shayad phir uss rihste ko sambhaalne se kuch nahi hoga, kyunki woh andar se hi toot chuka hai.
Aur rahi baat kisi ki yaad aane ki, woh to jissey pyaar hota hai na, usko bhoolna itna aasaan nahi hota. Issiliye yaadein aati rahengi aur tumhe roona bhi padhega. Dheere-dheere haan phir inn baaton ko badalna padhega. Agar kisi ki bahut yaad aa rahi ho na, to roo lena aur jaane dena.

-M. N².