![](https://blogger.googleusercontent.com/img/b/R29vZ2xl/AVvXsEjrUR-chE1t4QmL87GjPcc2gNEBZtYFvSDwsyPMtX__p4ISL6GIiJfDoLk2M4d79fAuZrcTyGXQ41XDibYcP5kor3Sh217iZqaYG8JckdvElaH4EajUFmW5yZCU7rhvEOU__it54fVLqoZKth-DMLp5y2w7WsrRCpITMKeaLETZKJfj2Iy7-9LOnFKqtTdi/s16000-rw/Zindagi%20hi%20to%20sab%20kuch%20hoti%20hai%20%20I%20WRITE%20WHAT%20YOU%20FEEL.jpg)
Tum kal ki planning saari kar ke soo rahe ho. Kisi se pyaar, kisi se jhagda, Kisi se baat chupa ke soo rahe ho. Aur kya hoga agar kal ko aankh hi na khuli to ? Dosti, nafratein sab reh jayengi dhari ki dhari.
Zindagi hi to sab kuch hoti hai, uske baad to kuch bhi nahi. To dil mai baat chupa kar hoga bhi kya ? Aasaan nahi hai per bataana bhi mushkil nahi. Kisi ke liye apne andar nafrat paal ke rakhna sahi lagta hai kya ? Ek hi zindagi mili hai, uss mai bhi marr ke jeena sahi ho sakta hai kya ? To kisi ko dil ki baat bataane ke liye tum din taalte rehte ho na, to mat taalo. Tumhara mann karta hai ki tum kuch apne mann ka bhi karo, to kar daalo. Kisi se bhi yuh differences rakhne mai koi laabh nahi hai. Maaf karna seekh lo to koi bhi rishte kharaab nahi hai. Jo paas hai tumhare, usey door mat jaane do. Shikayat hai kisi se to bol ke mit jaane do. Kuch nahi hoga ye sar pe bojh rakh ke jeene mai. Choti moti baaton ko to value hi mat do. Karlo woh baat kuch adhoora hai to. Kya pata aage kal ho na ho.
-M. N².